aaKHiri pahchan
agar sañg-dil hai zamāna to kyā hai
agar aisī das shādiyāñ bhī mire jism ko qaid kar leñ
to kyā hai
mirā zehn jab bhī tumhāre fasānoñ meñ khoyā rahegā
ki dil kī ravish par bhalā kis kā pahra rahā hai
ab is baar jab do sulagte badan āḳhirī baar mil kar judā ho rahe haiñ ye va.ada karo
un kī rūheñ yūñhī roz miltī raheñgī
tumhāre laboñ par mirā naam ab bhī machaltā rahegā
jo tumhāre liye TikTikī bāñdh kar
dhyān kī suunī rāhoñ pe bechain baiThī rahī haiñ
magar haañ zarā dekhnā
ab vo chūñki hamāre tumhāre ba-zāhir ravābit
to afsos sab munqata.a ho chuke
is liye dostoñ meñ mire zikr se ab gurezāñ se rahnā
mire jitne ḳhat haiñ ḳhudārā unheñ aag meñ Daal denā
koī mere baare meñ pūchhe
to hairat se kahnā
ta.ajjub hai ab tak kisī aisī laḌkī se milnā to kyā maiñ to ye naam hī
aaj pahle-pahal aap se sun rahā huuñ
agar sang-dil hai zamana to kya hai
agar aisi das shadiyan bhi mere jism ko qaid kar len
to kya hai
mera zehn jab bhi tumhaare fasanon mein khoya rahega
ki dil ki rawish par bhala kis ka pahra raha hai
ab is bar jab do sulagte badan aaKHiri bar mil kar juda ho rahe hain ye wada karo
un ki ruhen yunhi roz milti rahengi
tumhaare labon par mera nam ab bhi machalta rahega
jo tumhaare liye TikTiki bandh kar
dhyan ki suni rahon pe bechain baiThi rahi hain
magar han zara dekhna
ab wo chunki hamare tumhaare ba-zahir rawabit
to afsos sab munqata ho chuke
is liye doston mein mere zikr se ab gurezan se rahna
mere jitne KHat hain KHudara unhen aag mein Dal dena
koi mere bare mein puchhe
to hairat se kahna
tajjub hai ab tak kisi aisi laDki se milna to kya main to ye nam hi
aaj pahle-pahal aap se sun raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.