aaKHiri qafila
na jaane
sargoshiyoñ meñ kitnī kahāniyāñ an-kahī haiñ ab tak
barahna dīvār par Tañge pur-kashish calendar meñ
dā.ere kā nishān
umr-e-gurez-pā ko davām ke ḳhvāb de gayā hai
jis meñ sulagte sayyāre
gesuoñ ke ghane ḳhunuk saa.e DhūñDte haiñ
gulāb-sāñsoñ se
jaise
shādābiyoñ kī taḳhlīq ho rahī hai
vo jhuk ke phūloñ meñ apne bhīge badan kī ḳhushbū ko bāñTtī hai
chaman se jaatī bahār
ik Tokarī meñ mahfūz ho ga.ī hai
na jaane
sargoshiyon mein kitni kahaniyan an-kahi hain ab tak
barahna diwar par Tange pur-kashish calendar mein
daere ka nishan
umr-e-gurez-pa ko dawam ke KHwab de gaya hai
jis mein sulagte sayyare
gesuon ke ghane KHunuk sae DhunDte hain
gulab-sanson se
jaise
shadabiyon ki taKHliq ho rahi hai
wo jhuk ke phulon mein apne bhige badan ki KHushbu ko banTti hai
chaman se jati bahaar
ek Tokari mein mahfuz ho gai hai
- Book : pushtara (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.