aaKHiri rae
kal raat vo āsmānoñ se utrā bahut ḳhush huā
bahut ḳhush huā jaise gahre samundar
ġhazabnākiyoñ meñ uchhalte haiñ yā āsmāñ par farishte
qubūl-e-ibādat pe masrūr hote haiñ
us ne kahā maiñ ne jo kuchh kahā thā vo puurā huā
jo maiñ dekhtā thā vo maiñ dekhtā thā
jo vo dekhtā thā vo shīshe meñ ḳhud us kā apnā hī chehra thā
zāhir na maḳhfī na vāzeh
faqat ek mumkin ki hotā na hotā
us ne ye dekh kar
apnī har kāmyābī kī fihrist tartīb dī aur
āḳhir meñ likkhā zamīn par ḳhudā kī tavaqqo
na puurī huī thī na puurī huī hai
jise ham ne aadam kahā thā vo miTTī kā be-kār be-asl dhokā thā
dhokā hī sābit huā
us se kuchh na huā
fazāoñ meñ niilī havāoñ meñ dozaḳh meñ jannat meñ
aqvām-e-ālam kī mahfil-sarāoñ meñ
us be-navā kā tamasḳhur uḌā
jise maiñ ne bar-vaqt rokā thā
kal raat wo aasmanon se utra bahut KHush hua
bahut KHush hua jaise gahre samundar
ghazabnakiyon mein uchhalte hain ya aasman par farishte
qubul-e-ibaadat pe masrur hote hain
us ne kaha main ne jo kuchh kaha tha wo pura hua
jo main dekhta tha wo main dekhta tha
jo wo dekhta tha wo shishe mein KHud us ka apna hi chehra tha
zahir na maKHfi na wazeh
faqat ek mumkin ki hota na hota
us ne ye dekh kar
apni har kaamyabi ki fihrist tartib di aur
aaKHir mein likkha zamin par KHuda ki tawaqqo
na puri hui thi na puri hui hai
jise hum ne aadam kaha tha wo miTTi ka be-kar be-asl dhoka tha
dhoka hi sabit hua
us se kuchh na hua
fazaon mein nili hawaon mein dozaKH mein jannat mein
aqwam-e-alam ki mahfil-saraon mein
us be-nawa ka tamasKHur uDa
jise main ne bar-waqt roka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.