aaKHiri raat
siyāhī ban ke chhāyā shahr par shaitān kā fitna
gunāhoñ se lipaT kar so gayā insān kā fitna
panāheñ husn ne pā.īñ siyahkārī ke dāman meñ
vafādārī huī rū-posh nādārī ke dāman meñ
mayassar haiñ zarī ke shāmiyāne ḳhush-nasībī ko
oḌhā dī sāya-e-dīvār ne chādar ġharībī ko
mashaqqat ko sikhā kar ḳhūbiyāñ ḳhidmat-guzārī kī
huiiñ be-ḳhauf be-īmāniyāñ sarmāya-dārī kī
liyā āġhosh meñ phūloñ kī sījoñ ne amīrī ko
muhayyā ḳhaak hī ne kar diye aasan faqīrī ko
taḌapnā chhoḌ kar chup ho ga.e jī hārne vaale
maze kī niiñd so.e tāziyāne mārne vaale
vo rūhānī vo jismānī uqūbat kam huī āḳhir
ġhulāmī beḌiyoñ ke bojh se be-dam huī āḳhir
hue fariyādiyoñ par band aivānoñ ke darvāze
ki ḳhud muhtāj-e-darbāñ haiñ jahāñ-bānoñ ke darvāze
isī andāz se jā soī ġhaflat bādshāhoñ kī
surūr o kaif ban kar chhā ga.iiñ nīndeñ gunāhoñ kī
sharābeñ ḳhatm kar ke ho ga.e ḳhāmosh hañgāme
bil-āḳhir niiñd aa.ī so ga.e pur-josh hañgāme
thamā jab zindagī kā josh parḳhāsh-e-ajal jaagī
amal ko dekh kar mad.hosh pādāsh-e-amal jaagī
uThāyā maut ne patthar jahannam ke dahāne se
jahāñ ātish kā dariyā kholtā thā ik zamāne se
bulandī se tabāhī ke samundar ne kiyā dhāvā
chaTānoñ ke jigar se phuuT niklā ātshīñ-lāvā
dikhā dī aag aivānoñ ko mazlūmī kī aahoñ ne
uThā.e shola-hā-e-ātshīñ bekas nigāhoñ ne
unheñ muḳhtār ban kar bekasī ke ḳhuun kī maujeñ
hisār-e-marg ne mahsūr kar liiñ jañg jo faujeñ
na husn o ishq ne paa.ī amaañ qahr-e-ilāhī se
dabī pādāsh amīrī se faqīrī se na shāhī se
sitāroñ kī nigāhoñ ne dhuāñ uThtā huā dekhā
magar ḳhurshīd ne kuchh bhī na miTTī ke sivā dekhā
siyahi ban ke chhaya shahr par shaitan ka fitna
gunahon se lipaT kar so gaya insan ka fitna
panahen husn ne pain siyahkari ke daman mein
wafadari hui ru-posh nadari ke daman mein
mayassar hain zari ke shamiyane KHush-nasibi ko
oDha di saya-e-diwar ne chadar gharibi ko
mashaqqat ko sikha kar KHubiyan KHidmat-guzari ki
huin be-KHauf be-imaniyan sarmaya-dari ki
liya aaghosh mein phulon ki sijon ne amiri ko
muhayya KHak hi ne kar diye aasan faqiri ko
taDapna chhoD kar chup ho gae ji haarne wale
maze ki nind soe taziyane marne wale
wo ruhani wo jismani uqubat kam hui aaKHir
ghulami beDiyon ke bojh se be-dam hui aaKHir
hue fariyaadiyon par band aiwanon ke darwaze
ki KHud muhtaj-e-darban hain jahan-banon ke darwaze
isi andaz se ja soi ghaflat baadshahon ki
surur o kaif ban kar chha gain ninden gunahon ki
sharaben KHatm kar ke ho gae KHamosh hangame
bil-aKHir nind aai so gae pur-josh hangame
thama jab zindagi ka josh parKHash-e-ajal jagi
amal ko dekh kar madhosh padash-e-amal jagi
uThaya maut ne patthar jahannam ke dahane se
jahan aatish ka dariya kholta tha ek zamane se
bulandi se tabahi ke samundar ne kiya dhawa
chaTanon ke jigar se phuT nikla aatshin-lawa
dikha di aag aiwanon ko mazlumi ki aahon ne
uThae shola-ha-e-atshin bekas nigahon ne
unhen muKHtar ban kar bekasi ke KHun ki maujen
hisar-e-marg ne mahsur kar lin jang jo faujen
na husn o ishq ne pai aman qahr-e-ilahi se
dabi padash amiri se faqiri se na shahi se
sitaron ki nigahon ne dhuan uThta hua dekha
magar KHurshid ne kuchh bhi na miTTi ke siwa dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.