aaKHiri raat
mat bujhā dil-e-nādāñ
sogvār sham'oñ ko
ab bhī ġham ke māroñ kī
aadhī raat baaqī hai
ḳhvāb kī tahoñ meñ ab
chhup ga.e haiñ jā jā kar
zindagī ke saudāgar
hai jahān-e-be-pāyāñ
ek qarya-e-vīrāñ
aur merī ye dhartī
karvaTeñ badaltī hai
jaise dard ke maare
koī kuchh na kah paa.e
chauñk chauñk uThtī hai
rāste kī ḳhāmoshī
maut jaise kartī ho
zindagī se sargoshī
maiñ ne ashk bo.e the
jin fasurda āñkhoñ meñ
un se ḳhuun ristā hai
un se aag bahtī hai
mere sāmne aa kar
naach naach uThtī haiñ
merī apnī tasvīreñ
kitnī baar jab maiñ ne
zindagī luTā.ī hai
aur kisī kī chāhat meñ
zalzale se aa.e haiñ
āsmān TuuTā hai
jaan par ban aa.ī hai
shal hue haiñ ye shāne
thak ga.ī haiñ āshā.eñ
lekin aaj bhī hamdam
ye udaas darvāze
shāhrāh kī jānib
jaise takte rahte haiñ
dekh in darīchoñ par
koī buuñd phir Tapkī
niiñd ke daraḳhtoñ ko
koī phir hilātā hai
aur jaise rah rah kar
mere kaan bajte haiñ
maut ke qadam kī chaap
merī nā-tamām ulfat
aasrā dilātī hai
aaj jaag kar kaaTo
sā'at-e-fasurda ko
aaj koī aa.egā
aaj koī aa.egā
mat bujha dil-e-nadan
sogwar sham'on ko
ab bhi gham ke maron ki
aadhi raat baqi hai
KHwab ki tahon mein ab
chhup gae hain ja ja kar
zindagi ke saudagar
hai jahan-e-be-payan
ek qarya-e-viran
aur meri ye dharti
karwaTen badalti hai
jaise dard ke mare
koi kuchh na kah pae
chaunk chaunk uThti hai
raste ki KHamoshi
maut jaise karti ho
zindagi se sargoshi
main ne ashk boe the
jin fasurda aankhon mein
un se KHun rista hai
un se aag bahti hai
mere samne aa kar
nach nach uThti hain
meri apni taswiren
kitni bar jab main ne
zindagi luTai hai
aur kisi ki chahat mein
zalzale se aae hain
aasman TuTa hai
jaan par ban aai hai
shal hue hain ye shane
thak gai hain aashaen
lekin aaj bhi hamdam
ye udas darwaze
shahrah ki jaanib
jaise takte rahte hain
dekh in darichon par
koi bund phir Tapki
nind ke daraKHton ko
koi phir hilata hai
aur jaise rah rah kar
mere kan bajte hain
maut ke qadam ki chap
meri na-tamam ulfat
aasra dilati hai
aaj jag kar kaTo
sa'at-e-fasurda ko
aaj koi aaega
aaj koi aaega
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 128)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.