aaKHiri samt mein bichhi bisat
hameñ har khel meñ har baat par
ai maat ke ḳhvāhāñ
kabhī khīñcheñge ham bāgeñ
junūnī sar-phirī andhī havāoñ kī
uḌā.eñge falak par
chāñd tāroñ se bane rath ko
phir ā.eñge tujhe hamrāh karne
surma.ī dhuñdle jazīroñ se
sunahrī aas rañgī sar zamīñ tak
na.e mohroñ se phir apnā
purānā khel kheleñge
tirī har maat kī har chaal ko
shah-māt dekheñge
hamein har khel mein har baat par
ai mat ke KHwahan
kabhi khinchenge hum bagen
jununi sar-phiri andhi hawaon ki
uDaenge falak par
chand taron se bane rath ko
phir aaenge tujhe hamrah karne
surmai dhundle jaziron se
sunahri aas rangi sar zamin tak
nae mohron se phir apna
purana khel khelenge
teri har mat ki har chaal ko
shah-mat dekhenge
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 166)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.