aaKHiri shab
kurra-e-arz pe insān kī ye āḳhirī shab
roz-e-avval ke ujāle kī tarah raushan hai
āsmānoñ kī taraf aag ke sho.ale haiñ davāñ
kaun jaane inhī rastoñ se farishte hoñ ravāñ
arz se us ke ḳhalīfa ko uThāne ke liye
us ko apne vatan-e-asl meñ laane ke liye
is liye din ke ujāle kī tarah raushan hai
afv kī va.ada-o-paimān kī ye āḳhirī shab
kurra-e-arz pe insān kī ye āḳhirī shab
aur ḳhudāyān-e-zamīñ ne bhī navāzā us ko
ilm-o-tahzīb-o-tamaddun se sañvārā us ko
mah-o-parvīñ kā bhī yuuñ us ko sikhāyā hai shikār
ki ḳhudāvand-e-zamīñ hone lagā us kā shumār
aur iblīs ne us ilm ko azmat de kar
apnī taḳhrīb ke aadam ko dikhā.e jauhar
aur phir ahl-e-siyāsat ke haiñ ehsān bahut
aish-e-insāñ ke jinhoñ ne kiye sāmān bahut
kī bahut chāragarī ahl-e-siyāsat ne magar
pūchheñ in chāragaroñ se vo bitā.e kyoñ kar
apne har dard ke darmān kī ye āḳhirī shab
kurra-e-arz pe insān kī ye āḳhirī shab
kurra-e-arz pe insan ki ye aaKHiri shab
roz-e-awwal ke ujale ki tarah raushan hai
aasmanon ki taraf aag ke shoale hain dawan
kaun jaane inhi raston se farishte hon rawan
arz se us ke KHalifa ko uThane ke liye
us ko apne watan-e-asl mein lane ke liye
is liye din ke ujale ki tarah raushan hai
afw ki wada-o-paiman ki ye aaKHiri shab
kurra-e-arz pe insan ki ye aaKHiri shab
aur KHudayan-e-zamin ne bhi nawaza us ko
ilm-o-tahzib-o-tamaddun se sanwara us ko
mah-o-parwin ka bhi yun us ko sikhaya hai shikar
ki KHudawand-e-zamin hone laga us ka shumar
aur iblis ne us ilm ko azmat de kar
apni taKHrib ke aadam ko dikhae jauhar
aur phir ahl-e-siyasat ke hain ehsan bahut
aish-e-insan ke jinhon ne kiye saman bahut
ki bahut chaaragari ahl-e-siyasat ne magar
puchhen in chaaragaron se wo bitae kyon kar
apne har dard ke darman ki ye aaKHiri shab
kurra-e-arz pe insan ki ye aaKHiri shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.