aaKHri lecture
ye tum sab
ki jin ke saroñ meñ javānī kā ḳhuuñ lahlahātā hai
mujh se rasīd apnī mehnat kī bhī lete jaao
mohabbat ke baare meñ jo bhī kisī ne batāyā hai
puurī haqīqat nahīñ
kyūñki chāhat rivāyat nahīñ
tajraba hai
haqīqat meñ har aadmī mohtaram hai
vo ḳhud us kī jab tak na tardīd kar de
ye pahle bhī maiñ ne kahā thā
tumhāre laboñ se jo kānoñ ko pahuñche
vo harf ism-e-āzam ho
dekho vahī
jis meñ kal kī bashārat
hidāyat har ik ḳhair kī
taaza ehsās kī raushnī ho
jo kānoñ meñ utre
tum us meñ se amrit nithāro
ki amrit meñ dil ruuh aur zehn kī
tiis bīmāriyoñ kī shifā hai
zabāñ par vo tāsīr rakhnā
ki jis se zamāne ko ḳhud apnī pahchān ho
apne har ilm ko aap hī dekhnā aur apnī zabāñ se hī paḌhnā
zamāne ko chhūnā
ki har nasl ne jo haqā.eq tarāshe
vo apne hī hāthoñ ghaḌe haiñ
ki har ahd ne aag ko chhū ke hī aag maanā
ye tum bhī karoge
ye sab tum bhī karnā
kitāboñ ko bas sūñghnā chhoḌ denā
ye kullī sadāqat nahīñ haiñ
tumhāre zamāne se pahle ke likhe hue nādir aurāq
kal kī har ik pesh-bīnī se aarī haiñ
in sab kitāboñ ke pahle varaq
sirf is vāste
ḳhālī rakkhe ga.e haiñ
ki tum in pe apne zamāne kī sachchā.iyāñ likh ke jaao
ham aisoñ kī ḳhātir
jinheñ kal tumhārā likhā paḌh ke phir yaad karnā hai
aate huoñ ko sunānā hai
ye tum sab
ki jin ke saron mein jawani ka KHun lahlahata hai
mujh se rasid apni mehnat ki bhi lete jao
mohabbat ke bare mein jo bhi kisi ne bataya hai
puri haqiqat nahin
kyunki chahat riwayat nahin
tajraba hai
haqiqat mein har aadmi mohtaram hai
wo KHud us ki jab tak na tardid kar de
ye pahle bhi main ne kaha tha
tumhaare labon se jo kanon ko pahunche
wo harf ism-e-azam ho
dekho wahi
jis mein kal ki bashaarat
hidayat har ek KHair ki
taza ehsas ki raushni ho
jo kanon mein utre
tum us mein se amrit nithaaro
ki amrit mein dil ruh aur zehn ki
tis bimariyon ki shifa hai
zaban par wo tasir rakhna
ki jis se zamane ko KHud apni pahchan ho
apne har ilm ko aap hi dekhna aur apni zaban se hi paDhna
zamane ko chhuna
ki har nasl ne jo haqaeq tarashe
wo apne hi hathon ghaDe hain
ki har ahd ne aag ko chhu ke hi aag mana
ye tum bhi karoge
ye sab tum bhi karna
kitabon ko bas sunghna chhoD dena
ye kulli sadaqat nahin hain
tumhaare zamane se pahle ke likhe hue nadir auraq
kal ki har ek pesh-bini se aari hain
in sab kitabon ke pahle waraq
sirf is waste
KHali rakkhe gae hain
ki tum in pe apne zamane ki sachchaiyan likh ke jao
hum aison ki KHatir
jinhen kal tumhaara likha paDh ke phir yaad karna hai
aate huon ko sunana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.