aaKHri raat
āḳhirī raat hai december kī
ārzuoñ kī saj ga.ī hai barāt
sāl-e-nau kī bas āmad-āmad hai
le ke aa.egā jaane kyā sauġhāt
tīra-o-tār mahfil-e-shab meñ
nuur hī nuur aaj mehmāñ hai
dīdanī hai ye jashn kā ‘ālam
anjuman anjuman charāġhāñ hai
dafn maazī meñ saare ġham kar ke
ḳhair-maqdam ke giit gaate haiñ
ye junūñ-ḳhez sarḳhushī kā samāñ
gul-e-ummīd muskurāte haiñ
sāl-e-nau kī naved le le kar
muddatoñ se ye raat aatī hai
lamha lamha pighaltā jaatā hai
raat jaatī hai baat jaatī hai
har qadam par ḳhizāñ bhī ghaat meñ hai
kuchh ḳhabar bhī hai jashn-e-gul vaalo
manzileñ kitnī ho chukī haiñ tai
muḌ ke rāhoñ pe ik nazar Daalo
umr-e-rafta kā sang-e-mīl ye shab
sub.h kī shakl jab dikhā.egī
maut kī rahguzar pe ek qadam
zindagī aur aage jā.egī
aaKHiri raat hai december ki
aarzuon ki saj gai hai baraat
sal-e-nau ki bas aamad-amad hai
le ke aaega jaane kya saughat
tira-o-tar mahfil-e-shab mein
nur hi nur aaj mehman hai
didani hai ye jashn ka ‘alam
anjuman anjuman charaghan hai
dafn mazi mein sare gham kar ke
KHair-maqdam ke git gate hain
ye junun-KHez sarKHushi ka saman
gul-e-ummid muskuraate hain
sal-e-nau ki nawed le le kar
muddaton se ye raat aati hai
lamha lamha pighalta jata hai
raat jati hai baat jati hai
har qadam par KHizan bhi ghat mein hai
kuchh KHabar bhi hai jashn-e-gul walo
manzilen kitni ho chuki hain tai
muD ke rahon pe ek nazar Dalo
umr-e-rafta ka sang-e-mil ye shab
subh ki shakl jab dikhaegi
maut ki rahguzar pe ek qadam
zindagi aur aage jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.