aaKHri sadi ke moD par
na jaane zindagī kahāñ Thahar ga.ī
ye fasl-e-intizār bhī guzar ga.ī
khulā thā ik darīcha-e-falak-numā
magar havā kā rāsta badal gayā
tamām āsmāñ huā dhuāñ-dhuāñ
zamīñ kā ek ek ḳhvāb jal gayā
khulī huī fazā meñ raakh bhar ga.ī
rafāqatoñ kā tarjumāñ thā jo lahū
vo is tamāshā-gar sadī meñ bah gayā
vo dard-e-mushtarak jo raushnī bane
pighal ke vaqt kī nadī meñ bah gayā
nadī badan kī tah talak utar ga.ī
daraḳht apne phal ko ḳhud hī khā ga.e
zamīñ kī god meñ girā na koī bhī
sahar ke dast-e-nāz be-hinā rahe
duā kī aañkh saarī raat roī bhī
na jaane vo havā-e-shab kidhar ga.ī
havā-e-sard kah rahī hai der se
charāġh-e-jāñ bujhā ke so bhī jā.iye
safar meñ kaun pūchhtā hai hāl-e-dil
udāsiyoñ ke biich kho bhī jā.iye
nigāh meñ jo sub.h thī vo mar ga.ī
manziloñ ke ḳhvāb kā qusūr kyā
pusht kī taraf jo qāfila chale
jo rahravān-e-tez-pā bhaTak ga.e
to ham bhī nā-murādiyāñ uThā chale
zamīn apne zalzaloñ se Dar ga.ī
na jaane zindagi kahan Thahar gai
ye fasl-e-intizar bhi guzar gai
khula tha ek daricha-e-falak-numa
magar hawa ka rasta badal gaya
tamam aasman hua dhuan-dhuan
zamin ka ek ek KHwab jal gaya
khuli hui faza mein rakh bhar gai
rafaqaton ka tarjuman tha jo lahu
wo is tamasha-gar sadi mein bah gaya
wo dard-e-mushtarak jo raushni bane
pighal ke waqt ki nadi mein bah gaya
nadi badan ki tah talak utar gai
daraKHt apne phal ko KHud hi kha gae
zamin ki god mein gira na koi bhi
sahar ke dast-e-naz be-hina rahe
dua ki aankh sari raat roi bhi
na jaane wo hawa-e-shab kidhar gai
hawa-e-sard kah rahi hai der se
charagh-e-jaan bujha ke so bhi jaiye
safar mein kaun puchhta hai haal-e-dil
udasiyon ke bich kho bhi jaiye
nigah mein jo subh thi wo mar gai
manzilon ke KHwab ka qusur kya
pusht ki taraf jo qafila chale
jo rahrawan-e-tez-pa bhaTak gae
to hum bhi na-muradiyan uTha chale
zamin apne zalzalon se Dar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.