aalam-e-arwah ka ek manzar
raushniyoñ se ghire
ek bahut baḌe maidān meñ
kisī ne
ek purānā calender laTkā kar
vahāñ maujūd
tamām afrād se
ye kahā hai
ki vo
is meñ
aaj kā din aur aaj kī tārīḳh talāsh kareñ
log is calender kā
ek aur varq ulaTte hue
māyūsī ke samundar meñ ġharq ho rahe haiñ
un kī ye koshish
aisī hī hai
ki jaise koī
kisī band ghaḌiyāl se
sahī vaqt kī tavaqqo kar rahā ho
aisā mahsūs ho rahā hai
ki vahāñ maujūd tamām afrād
apne hī janāze meñ sharīk haiñ
aur
apne hī dafn hone ke manzar
raushniyon se ghire
ek bahut baDe maidan mein
kisi ne
ek purana calender laTka kar
wahan maujud
tamam afrad se
ye kaha hai
ki wo
is mein
aaj ka din aur aaj ki tariKH talash karen
log is calender ka
ek aur warq ulaTte hue
mayusi ke samundar mein gharq ho rahe hain
un ki ye koshish
aisi hi hai
ki jaise koi
kisi band ghaDiyal se
sahi waqt ki tawaqqo kar raha ho
aisa mahsus ho raha hai
ki wahan maujud tamam afrad
apne hi janaze mein sharik hain
aur
apne hi dafn hone ke manzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.