aalam-e-tasawwur
phir tasavvur pe chhā ga.ī hai tū
phir mujhe dhyān aa rahā hai tirā
phir baḌhā jā rahā hai josh-e-junūñ
phir huā jā rahā huuñ dīvāna
mahviyat sī hai be-ḳhudī sī hai
dil meñ phir bas ga.ī tirī tasvīr
dekh kar dekhtā hī jaatā huuñ
rūh-e-pur-nūr qalb-e-pur-tanvīr
husn-e-nazzāra hai hayāt-afroz
dil-nashīñ hai ye ḳhvāb kī duniyā
aa ga.ī tū mujassam āñkhoñ meñ
bas ga.ī hai koī na.ī duniyā
reshmī sabz rang kī saaḌī
jo sarak aa.ī sar se kandhoñ par
zīnat-e-husn-o-zeb-e-ārā.ish
tār-tār us kā hai nazar-parvar
le rahā hai balā.eñ aariz kī
vo tire kaan kā hasīn bundā
kis qadar hai ye mast-e-lazzat-e-qurb
jhūmtā hai surūr meñ kaisā
ġham hai zauq-e-nazar nazāre meñ
kis tasavvur meñ kho gayā huuñ maiñ
ab to ye bhī mujhe nahīñ ma.alūm
jāgtā huuñ ki so gayā huuñ maiñ
phir tasawwur pe chha gai hai tu
phir mujhe dhyan aa raha hai tera
phir baDha ja raha hai josh-e-junun
phir hua ja raha hun diwana
mahwiyat si hai be-KHudi si hai
dil mein phir bas gai teri taswir
dekh kar dekhta hi jata hun
ruh-e-pur-nur qalb-e-pur-tanwir
husn-e-nazzara hai hayat-afroz
dil-nashin hai ye KHwab ki duniya
aa gai tu mujassam aankhon mein
bas gai hai koi nai duniya
reshmi sabz rang ki saDi
jo sarak aai sar se kandhon par
zinat-e-husn-o-zeb-e-araish
tar-tar us ka hai nazar-parwar
le raha hai balaen aariz ki
wo tere kan ka hasin bunda
kis qadar hai ye mast-e-lazzat-e-qurb
jhumta hai surur mein kaisa
gham hai zauq-e-nazar nazare mein
kis tasawwur mein kho gaya hun main
ab to ye bhi mujhe nahin malum
jagta hun ki so gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.