aalamon ko ban bas dene wale
sūraj se saa.e kī tavaqqo.a bādal se sunahrī dhuup kī
kāñToñ se mahakte phuul kī ḳhushbū sahrā se hariyālī kī
kaise bhūle aap haiñ sāhab kaisī tavaqqo.a rakhte haiñ
kīchaḌ meñ jab aap chaleñge paañv to gande hoñge hī
jhūToñ kī sohbat meñ rah kar sach kaise kah pā.eñge
mare hue insāñ ke lahm se kyuuñ raġhbat rakhte haiñ aap
ab bhī thoḌā vaqt bahut hai qalb-e-māhiyat kar leñ
ahl-e-havas ke sāmne jhuk ke
baunoñ kī sanā meñ be-ḳhud haiñ
apne jī kā saudā kar ke logoñ kī malāmat sahte haiñ
bahut huā bas band kareñ ab apnī zamīr-faroshī ko
duniyā vaale sochte hoñge aalam kyuuñ aise haiñ ab
lekin un ko kaun batā.e
aap ne zar aur jism kī ḳhātir
jāhil ko tauqīr hai baḳhshī aalim ko ban-bās diyā hai
aur aalim tujh kizb-e-sifat ko mahv-e-hairat taak rahā hai
ilm jo shahr-e-ilm ke bāhar ab bhī girya kartā hai
apnī aur terī hālat par ġham ke aañsū rotā hai
kaash ki ho taufīq zarā sī
thoḌā pashemāñ ho leñ aap
tauba kī manzil se pahle
apnī sūrat dekheñ aap
suraj se sae ki tawaqqoa baadal se sunahri dhup ki
kanTon se mahakte phul ki KHushbu sahra se hariyali ki
kaise bhule aap hain sahab kaisi tawaqqoa rakhte hain
kichaD mein jab aap chalenge panw to gande honge hi
jhuTon ki sohbat mein rah kar sach kaise kah paenge
mare hue insan ke lahm se kyun raghbat rakhte hain aap
ab bhi thoDa waqt bahut hai qalb-e-mahiyat kar len
ahl-e-hawas ke samne jhuk ke
baunon ki sana mein be-KHud hain
apne ji ka sauda kar ke logon ki malamat sahte hain
bahut hua bas band karen ab apni zamir-faroshi ko
duniya wale sochte honge aalam kyun aise hain ab
lekin un ko kaun batae
aap ne zar aur jism ki KHatir
jahil ko tauqir hai baKHshi aalim ko ban-bas diya hai
aur aalim tujh kizb-e-sifat ko mahw-e-hairat tak raha hai
ilm jo shahr-e-ilm ke bahar ab bhi girya karta hai
apni aur teri haalat par gham ke aansu rota hai
kash ki ho taufiq zara si
thoDa pasheman ho len aap
tauba ki manzil se pahle
apni surat dekhen aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.