aali-ji ki gum-shuda bayaz
bayāz chorī huī hai janāb-e-'ālī' kī
bayāz-chor ne chorī baḌī misālī kī
zarūr chor koī sāriq-e-adab hogā
use bayāz churāne kā ḳhaas Dhab hogā
maiñ aise chor kī dānish-varī pe huuñ hairān
jo ek raat meñ ban baiThā sāhab-e-dīvān
janāb-e-'ālī' ke column the jitne matbūā
samajh ke chhoḌ gayā un ko nasr-e-mamnuā
ajiib chor thā nasrī kalām chhoḌ gayā
bayāz le gayā column tamām chhoḌ gayā
ġhazal ke saath ga.ī masnavī bhī dohā bhī
tamām shahr ne maanā thā jis kā lohā bhī
chhupā huā thā jo shā.ir nikal rahā hogā
vo is bayāz ke maqte badal rahā hogā
janāb-e-'ālī' kī fikr-e-jamīl thī ye bayāz
rubā.iyoñ meñ baḌī ḳhud-kafīl thī ye bayāz
jis anjuman meñ ye jaatī thī hashr kartī thī
adab ke saath siyāsat bhī nashr kartī thī
mushā.eron meñ ba-sad ehtirām aatī thī
yahī bayāz musībat meñ kaam aatī thī
isī bayāz se dohoñ ko āzmānā thā
vo shāḳh hī na rahī jis pe āshiyāna thā
bayaz chori hui hai janab-e-'ali' ki
bayaz-chor ne chori baDi misali ki
zarur chor koi sariq-e-adab hoga
use bayaz churane ka KHas Dhab hoga
main aise chor ki danish-wari pe hun hairan
jo ek raat mein ban baiTha sahab-e-diwan
janab-e-'ali' ke column the jitne matbua
samajh ke chhoD gaya un ko nasr-e-mamnua
ajib chor tha nasri kalam chhoD gaya
bayaz le gaya column tamam chhoD gaya
ghazal ke sath gai masnawi bhi doha bhi
tamam shahr ne mana tha jis ka loha bhi
chhupa hua tha jo shair nikal raha hoga
wo is bayaz ke maqte badal raha hoga
janab-e-'ali' ki fikr-e-jamil thi ye bayaz
rubaiyon mein baDi KHud-kafil thi ye bayaz
jis anjuman mein ye jati thi hashr karti thi
adab ke sath siyasat bhi nashr karti thi
mushaeron mein ba-sad ehtiram aati thi
yahi bayaz musibat mein kaam aati thi
isi bayaz se dohon ko aazmana tha
wo shaKH hi na rahi jis pe aashiyana tha
- Book : No Problem (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.