aam hai aur aam hai
chhuTTīyāñ haiñ maiñ huuñ mīThā aam hai
aur ab merā bhalā kyā kaam hai
mango khānā aur piinā milkshake
shaġhl ab apnā ye sub.h-o-shām hai
garmiyāñ haiñ garmiyāñ haiñ garmiyāñ
aam hai aur aam hai aur aam hai
nāshta khānā dinner yā lunch ho
aam ke mausam meñ nazr-e-ām hai
maiñ nahīñ chhoḌūñgā ab lañgḌe kī Taañg
chuus lūñgā chausā aisā aam hai
aam kahtā hai jise saarā jahāñ
ġhāliban jannat ke phal kā naam hai
is kī quvvat kā bhalā kyā pūchhnā
fauq sad.hā pista-o-bādām hai
shauq jis ko aam khāne kā nahīñ
zauq meñ vo ham-sar-e-in.ām hai
sab phaloñ kā jab taqābul ho 'asar'
aam hī bas qābil-e-in.ām hai
chhuTTiyan hain main hun miTha aam hai
aur ab mera bhala kya kaam hai
mango khana aur pina milkshake
shaghl ab apna ye subh-o-sham hai
garmiyan hain garmiyan hain garmiyan
aam hai aur aam hai aur aam hai
nashta khana dinner ya lunch ho
aam ke mausam mein nazr-e-am hai
main nahin chhoDunga ab langDe ki Tang
chus lunga chausa aisa aam hai
aam kahta hai jise sara jahan
ghaaliban jannat ke phal ka nam hai
is ki quwwat ka bhala kya puchhna
fauq sadha pista-o-baadam hai
shauq jis ko aam khane ka nahin
zauq mein wo ham-sar-e-inam hai
sab phalon ka jab taqabul ho 'asar'
aam hi bas qabil-e-inam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.