aam ruKHsat ho gaya
aah sad-afsos hai phir aam ruḳhsat ho gayā
jis ko khātā thā maiñ sub.h-o-shām ruḳhsat ho gayā
kyoñ na us ġham par paḌhūñ maiñ innā lillāh dosto
dar-haqīqat rab kā ik in.aam ruḳhsat ho gayā
hausla rakh muntazir rah mausam-e-garmā kā phir
bain mat kar ab dil-e-nākām ruḳhsat ho gayā
dekhne se jis ke hotī thiiñ nigāheñ shād-bād
jis se paatā thā ye dil ārām ruḳhsat ho gayā
roknā chāhā bahut lekin vo niklā bevafā
āḳhirash mahbūb-e-ḳhās-o-ām ruḳhsat ho gayā
phīkī lagtī hai mujhe to zindagī us ke baġhair
kaif-o-lazzat kā vo shīrīñ jaam ruḳhsat ho gayā
sair kyā hotī tabī.at batn hai ḳhālī abhī
chhoḌ kar vo mujh ko tishna-kām ruḳhsat ho gayā
ab kisī ke jaal meñ ye qaid ho saktā nahīñ
thā 'asar' jis kā asīr-e-dām ruḳhsat ho gayā
aah sad-afsos hai phir aam ruKHsat ho gaya
jis ko khata tha main subh-o-sham ruKHsat ho gaya
kyon na us gham par paDhun main inna lillah dosto
dar-haqiqat rab ka ek inam ruKHsat ho gaya
hausla rakh muntazir rah mausam-e-garma ka phir
bain mat kar ab dil-e-nakaam ruKHsat ho gaya
dekhne se jis ke hoti thin nigahen shad-baad
jis se pata tha ye dil aaram ruKHsat ho gaya
rokna chaha bahut lekin wo nikla bewafa
aaKHirash mahbub-e-KHas-o-am ruKHsat ho gaya
phiki lagti hai mujhe to zindagi us ke baghair
kaif-o-lazzat ka wo shirin jam ruKHsat ho gaya
sair kya hoti tabiat batn hai KHali abhi
chhoD kar wo mujh ko tishna-kaam ruKHsat ho gaya
ab kisi ke jal mein ye qaid ho sakta nahin
tha 'asar' jis ka asir-e-dam ruKHsat ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.