aamad
hamārī sāñsoñ kī jalva-gah meñ
vo saare chehre
yugoñ ke pahre
jo saat paanī ke paar jā kar
base hue haiñ
phir aaj sayyāl satah par
jhilmilā rahe haiñ
sarāb ke ā.īnoñ meñ
honā na honā apnā dikhā rahe haiñ
qarīb aa kar hameñ bahut duur
ḳhud se bāhar bulā rahe haiñ
aur ham ye chehre
ragoñ ke sāhil pe naqsh jaise sajā chuke haiñ
jahāñ hamārā koī nahīñ hai
vahīñ pe pahle se aa chuke haiñ
hamari sanson ki jalwa-gah mein
wo sare chehre
yugon ke pahre
jo sat pani ke par ja kar
base hue hain
phir aaj sayyal satah par
jhilmila rahe hain
sarab ke aainon mein
hona na hona apna dikha rahe hain
qarib aa kar hamein bahut dur
KHud se bahar bula rahe hain
aur hum ye chehre
ragon ke sahil pe naqsh jaise saja chuke hain
jahan hamara koi nahin hai
wahin pe pahle se aa chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.