aanchal ke pallu ko ganTh nahin lagti
aaj tumhāre shahr se vāpas lauT rahī huuñ
lekin kaise
sābit-o-sālim kaun palaT kar jaatā hai
kis dil se aa.ī thī maiñ
tum se milnā kaisā hogā
jaane kyā kuchh man meñ thā
tum se milūñgī aur
tum se milūñgī aur bahut sī bāteñ hoñgī kuchh hoñToñ se bah nikleñgī kuchh āñkheñ tahrīr kareñgī
lekin ye sab ḳhvāb thā merā
dekho vāpas lauT rahī huuñ
tārkol kī bal khātī ye sāñpoñ jaisī saḌkeñ har ik moḌ tumhārī yādeñ
aur havā meñ lams tumhārā
bhīgtī āñkheñ le kar vāpas lauT rahī huuñ
lauT rahī huuñ ḳhālī aañkh aur ḳhālī haath
duur ufuq par zard udāsī kī chādar meñ lipTā chāñd
bijlī ke tāroñ par baiThe kuchh ḳhāmosh parind
is chaltī gaaḌī meñ jaise maiñ afsurda-jāñ
ek taraf chiḌiyoñ kā chamba peḌoñ par vo shor machātā
lekin jis kā dil bujh jaa.e us ko in se kyā
poñchh rahī huuñ bhīgtī āñkheñ
ik ik karke terī yādeñ
āñchal ke pallū meñ bāñdh rahī huuñ
lekin gāñTh nahīñ lagtī hai
merī poreñ saath nahīñ haiñ
jaise mere haath nahīñ haiñ
aaj tumhaare shahr se wapas lauT rahi hun
lekin kaise
sabit-o-salim kaun palaT kar jata hai
kis dil se aai thi main
tum se milna kaisa hoga
jaane kya kuchh man mein tha
tum se milungi aur
tum se milungi aur bahut si baaten hongi kuchh honTon se bah niklengi kuchh aankhen tahrir karengi
lekin ye sab KHwab tha mera
dekho wapas lauT rahi hun
tarkol ki bal khati ye sanpon jaisi saDken har ek moD tumhaari yaaden
aur hawa mein lams tumhaara
bhigti aankhen le kar wapas lauT rahi hun
lauT rahi hun KHali aankh aur KHali hath
dur ufuq par zard udasi ki chadar mein lipTa chand
bijli ke taron par baiThe kuchh KHamosh parind
is chalti gaDi mein jaise main afsurda-jaan
ek taraf chiDiyon ka chamba peDon par wo shor machata
lekin jis ka dil bujh jae us ko in se kya
ponchh rahi hun bhigti aankhen
ek ek karke teri yaaden
aanchal ke pallu mein bandh rahi hun
lekin ganTh nahin lagti hai
meri poren sath nahin hain
jaise mere hath nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.