aandhi ka rajaz
sannāToñ kī tah meñ ġhāsibāna raftār se baḌhtā huā
kisī masrūqa raaz kā dabīz ḳhalā
aur us meñ tezī se gardish kartā huā
ek jilā-vatan sayyāra
kisī ujaaḌ kahkashāñ ko na chhoḌne par musir
raushnī kī bāqī-māñda āvāz
aur shikasta āfāq ke ḳhākistarī gahrāo meñ
sūraj ke faurī ġhayāb ke
miTte hue āsār
mujhe bachānā hai
us kā.enātī virse ko
sarāboñ kī tezābī phunkār ke saath
zalzaloñ kī jaltī piiTh ko Dhaal banā kar
aur aag ke favvāre kī kumak le kar
jo kisī qadīm sayāf kī
pur-ḳharāsh niyām meñ mahbūs hai
us lā-mutanāhī ḳharābe ke liye
mujhe ījād karnī hai ek na.ī bahār
maut kī māyūs aur muzmahil ġhazab-nākī ko
vaqt ke ġhair-mutavāzin bojh se taḌḳhī huī zamīnoñ par
az-sar-e-nau bālīda kar ke
adhūre sāyoñ ke ġhol
tārīḳh ke āsebī chhakḌe ko
be-parvā.ī aur anāḌī-pan se khīñchte haiñ
sayyāroñ kī guzargāheñ
bhurnhurī aur mukaddar ho ga.ī haiñ
kā.enāt ke muñh par
kharoñche paḌ ga.e haiñ
siyāsī jitne gahre adam jitne lambe
rauñd meñ aa.ī huī piilī pattiyoñ kī tarah
sitāre āsmān par liip diye ga.e haiñ
un ki martūb jhilmilāhaT añdheroñ ko uksātī hai
aur nahūsatoñ kā hausla baḌhātī hai
maiñ hazāroñ nuurī baras ke raqbe ko
zamān o makān kī nāravā amal-dārī se
nikālne ke liye uThī huuñ
pighle hue faulād ke favvāre kī tarah
ek pur-ġhubār mismārī ek ḳhār-dār duḳhānī uThān ke saath
banī-nau-e-insān
tumhāre liye yahī behtar hai ki
jarsūmoñ kī tarah merī aañkh se ojhal raho
merī raah meñ apne shahr aur vīrāne mat bichhāo
varnā mujhe ġhussa yā hañsī aa jā.egī
aur ye tuġhyānī pahāḌ aur tinke ko ham vazn jāntī hai
ai hasharāt-ul-arz! mere pair bahut baḌe haiñ
kahīñ aisā na ho ki tumhārī zamīn
ḳhashḳhāsh ke daane kī tarah
mere kaf-e-pā se chipak jaa.e
aur mujhe patā bhī na chale
sannaTon ki tah mein ghasibana raftar se baDhta hua
kisi masruqa raaz ka dabiz KHala
aur us mein tezi se gardish karta hua
ek jila-watan sayyara
kisi ujaD kahkashan ko na chhoDne par musir
raushni ki baqi-manda aawaz
aur shikasta aafaq ke KHakistari gahrao mein
suraj ke fauri ghayab ke
miTte hue aasar
mujhe bachana hai
us kaenati wirse ko
sarabon ki tezabi phunkar ke sath
zalzalon ki jalti piTh ko Dhaal bana kar
aur aag ke fawware ki kumak le kar
jo kisi qadim sayaf ki
pur-KHarash niyam mein mahbus hai
us la-mutanahi KHarabe ke liye
mujhe ijad karni hai ek nai bahaar
maut ki mayus aur muzmahil ghazab-naki ko
waqt ke ghair-mutawazin bojh se taDKHi hui zaminon par
az-sar-e-nau baalida kar ke
adhure sayon ke ghol
tariKH ke aasebi chhakDe ko
be-parwai aur anaDi-pan se khinchte hain
sayyaron ki guzargahen
bhurnhuri aur mukaddar ho gai hain
kaenat ke munh par
kharonche paD gae hain
siyasi jitne gahre adam jitne lambe
raund mein aai hui pili pattiyon ki tarah
sitare aasman par lip diye gae hain
un ki martub jhilmilahaT andheron ko uksati hai
aur nahusaton ka hausla baDhati hai
main hazaron nuri baras ke raqbe ko
zaman o makan ki narawa amal-dari se
nikalne ke liye uThi hun
pighle hue faulad ke fawware ki tarah
ek pur-ghubar mismari ek KHar-dar duKHani uThan ke sath
bani-nau-e-insan
tumhaare liye yahi behtar hai ki
jarsumon ki tarah meri aankh se ojhal raho
meri rah mein apne shahr aur virane mat bichhao
warna mujhe ghussa ya hansi aa jaegi
aur ye tughyani pahaD aur tinke ko hum wazn jaanti hai
ai hasharaat-ul-arz! mere pair bahut baDe hain
kahin aisa na ho ki tumhaari zamin
KHashKHash ke dane ki tarah
mere kaf-e-pa se chipak jae
aur mujhe pata bhi na chale
- Book : andhi ka rajz (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.