aangan mein ek sham
shaam kī
lamha lamha
utartī huī
dhund meñ
sar jhukā.e hue ghar ke
ḳhāmosh āñgan meñ baiThe hue
merī vāmāñda ā.ankhoñ kī jaltī huī ret se
ik bipharte samundar kī āvāra lahreñ achānak ulajhne lagīñ
shaam kī
rasta rasta
utartī huī dhund meñ
is bipharte samundar kī āvāra lahroñ ko
chorī chhupe
dafn karnā paḌā
us khañDar meñ
jahāñ murda sadiyoñ ke bhaTke hue rāh-rau
chīḳhte phirte haiñ
apnī hī khoj meñ
ḳhauf kā saañp
rag rag meñ ḳhuuñ kī tarah sarsarātā rahā
raat ke chand be-kār lamhāt kī rāz-dāñ
dekh paa.e na biphre samundar kī āvāra lahroñ kā chehra kahīñ
aur pūchhe mohabbat se isrār se
ye baiThe-biThā.e tumheñ kyā huā
kuchh mujhe bhī kaho
sham ki
lamha lamha
utarti hui
dhund mein
sar jhukae hue ghar ke
KHamosh aangan mein baiThe hue
meri wamanda aaankhon ki jalti hui ret se
ek bipharte samundar ki aawara lahren achanak ulajhne lagin
sham ki
rasta rasta
utarti hui dhund mein
is bipharte samundar ki aawara lahron ko
chori chhupe
dafn karna paDa
us khanDar mein
jahan murda sadiyon ke bhaTke hue rah-rau
chiKHte phirte hain
apni hi khoj mein
KHauf ka sanp
rag rag mein KHun ki tarah sarsaraata raha
raat ke chand be-kar lamhat ki raaz-dan
dekh pae na biphre samundar ki aawara lahron ka chehra kahin
aur puchhe mohabbat se israr se
ye baiThe-biThae tumhein kya hua
kuchh mujhe bhi kaho
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 477)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.