aangan
dar dīvār darīche āñgan
dahlīzeñ dālān aur kamre
saare ruup ye kitne nāzuk
socho to miTTī ke khilaune
mere liye ye kunj-e-ibādat
mere liye ye koh-e-sadāqat
mere liye ye manzil-e-va.ada
ḳhuld-e-tahaffuz qasr-e-rifāqat
jis ke rāj-siñghāsan baiThī
maiñ raanī huuñ maiñ bechārī
bāhar chāhe tūfāñ aa.eñ
lekin yaañ sab chain se so.eñ
jab jāgeñ tab sūraj nikle
so jaa.eñ tab chāñdnī mahke
mere ghar vaale japte haiñ
mere naam kī jai-mālā.eñ
laxmī chhāyā jāneñ mujh ko
sarasvatī sā māneñ mujh ko
chāñd dekh ke mujh ko dekheñ
hariyālī par mujhe chalā.eñ
apnā taḳht aur taaj sambhāle
shaal doshāle kāñdhoñ Daale
baal baal motī pirvā.ūñ!
por por meñ hiire pahnūñ
kām-kāj kā pallū Dāle!
din bhar ghar se uljhūñ suljhūñ
raat ko lekin āñkheñ mūñde
pichhlī rut kā sāvan dekhūñ
hiire la.al bikharte jaa.eñ
mahl do mahle haTte jaa.eñ
chhoTā āñgan nīche kamre!
duur duur se haath hilā.eñ
biite lamhe jugnū aise
uḌte aur chamakte aa.eñ
muTThī bāñdh ke un ko dekhūñ
champā phuul mahakte jaa.eñ
jagmag jagmag sone jaisā
ghar sab kī nazroñ meñ aayā
bhīgā āñchal phailā kājal
kis ne dekhā kis ne chhupāyā
dar diwar dariche aangan
dahlizen dalan aur kamre
sare rup ye kitne nazuk
socho to miTTi ke khilaune
mere liye ye kunj-e-ibaadat
mere liye ye koh-e-sadaqat
mere liye ye manzil-e-wada
KHuld-e-tahaffuz qasr-e-rifaqat
jis ke raj-singhasan baiThi
main rani hun main bechaari
bahar chahe tufan aaen
lekin yan sab chain se soen
jab jagen tab suraj nikle
so jaen tab chandni mahke
mere ghar wale japte hain
mere nam ki jai-malaen
laxmi chhaya jaanen mujh ko
saraswati sa manen mujh ko
chand dekh ke mujh ko dekhen
hariyali par mujhe chalaen
apna taKHt aur taj sambhaale
shaal doshaale kandhon Dale
baal baal moti pirwaun!
por por mein hire pahnun
kaam-kaj ka pallu Dale!
din bhar ghar se uljhun suljhun
raat ko lekin aankhen munde
pichhli rut ka sawan dekhun
hire lal bikharte jaen
mahl do mahle haTte jaen
chhoTa aangan niche kamre!
dur dur se hath hilaen
bite lamhe jugnu aise
uDte aur chamakte aaen
muTThi bandh ke un ko dekhun
champa phul mahakte jaen
jagmag jagmag sone jaisa
ghar sab ki nazron mein aaya
bhiga aanchal phaila kajal
kis ne dekha kis ne chhupaya
- Book : sham ka pahla tara (Pg. 30)
- Author : Zehra Nigah
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.