aankh hi dard pahchanti hai
aañkh hī dard pahchāntī hai
maiñ is route par
pahelī gaaḌī kā mehmāñ thā
be-tarah ghūmtī geñd par ab nafas jitne anfās kā aur mehmān hai
un kī gintī mirī dāstāñ meñ nahīñ
ḳhaak kī naaf se ḳhaak ke batn tak
chand sā.āt kī raushnī
poshisheñ battiyāñ taaza model club
tāza-ruḳh gaaḌī aur baan aur gul-chehra interpreter
yahī chār-ā.ina chehra
ki chehre meñ tasvīr-e-ayyām se
raunaqoñ meñ base is tilismāt meñ
din jo vīrāñ kaTe
jo shīsheñ ghanī raat meñ kho ga.iiñ
so ga.iiñ
āsmānoñ pe ḳhālī kā chāñd
nāk-naqsha bikharne pe qādir huā
jis kī tahvīl meñ do muñde dā.ere aañkh ke haiñ
faqat aañkh ke haath par naqsh haiñ aañkh ḳhālī nahīñ
aankh hi dard pahchanti hai
main is route par
paheli gaDi ka mehman tha
be-tarah ghumti gend par ab nafas jitne anfas ka aur mehman hai
un ki ginti meri dastan mein nahin
KHak ki naf se KHak ke batn tak
chand saat ki raushni
poshishen battiyan taza model club
taza-ruKH gaDi aur ban aur gul-chehra interpreter
yahi chaar-aina chehra
ki chehre mein taswir-e-ayyam se
raunaqon mein base is tilismat mein
din jo viran kaTe
jo shishen ghani raat mein kho gain
so gain
aasmanon pe KHali ka chand
nak-naqsha bikharne pe qadir hua
jis ki tahwil mein do munde daere aankh ke hain
faqat aankh ke hath par naqsh hain aankh KHali nahin
- Book : siip (Magzin) (Pg. 175)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.