aankh-micholi
vo ik nannhī sī laḌkī
barf ke gaale se nāzuk-tar
havā meñ jhūltī shāḳhoñ kī ḳhushbū
us kā lahja thā
chamakte pāniyoñ jaisī subuk-rau
us kī bāteñ thiiñ
vo uḌtī titliyoñ ke rañg pahne
jab mujhe taktī
to āñkheñ miich letī
magar ab vo nahīñ hai
barf ke gaale bhī ġhā.eb haiñ
havā meñ jhūltī shāḳhoñ meñ
lahja hai na ḳhushbū hai
chamakte pāniyoñ par tairte haiñ
khaḌkhaḌāte zard-rū patte
vo uḌtī titliyāñ jin ke paroñ par
us kī rañgat thī
ḳhudā jaane kahāñ kis haal meñ haiñ
maiñ har ujḌe hue mausam meñ
us ko yaad kartā huuñ
to āñkheñ miich letā huuñ
wo ek nannhi si laDki
barf ke gale se nazuk-tar
hawa mein jhulti shaKHon ki KHushbu
us ka lahja tha
chamakte paniyon jaisi subuk-rau
us ki baaten thin
wo uDti titliyon ke rang pahne
jab mujhe takti
to aankhen mich leti
magar ab wo nahin hai
barf ke gale bhi ghaeb hain
hawa mein jhulti shaKHon mein
lahja hai na KHushbu hai
chamakte paniyon par tairte hain
khaDkhaDate zard-ru patte
wo uDti titliyan jin ke paron par
us ki rangat thi
KHuda jaane kahan kis haal mein hain
main har ujDe hue mausam mein
us ko yaad karta hun
to aankhen mich leta hun
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 1027)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.