aankh samundar
aañkh samundar
bahte bahte
haal diloñ kā kahte kahte
jis pal tham kar pal-bhar soche
achchhā thā ḳhāmosh hī rahte
niir kī dhārā jab tham jaa.e
sard havā ko sahte sahte
tab samjho shab biit chukī hai
yā ik lamha saañs rukī hai
aañkh jhukī hai
Dhaltī 'umr ke ḳhālī sāġhar
shor machātā ruuh kā sāgar
ḳhāmoshī hai dil ke andar
Duub chalī hai shām-e-december
aañkh samundar
aankh samundar
bahte bahte
haal dilon ka kahte kahte
jis pal tham kar pal-bhar soche
achchha tha KHamosh hi rahte
nir ki dhaara jab tham jae
sard hawa ko sahte sahte
tab samjho shab bit chuki hai
ya ek lamha sans ruki hai
aankh jhuki hai
Dhalti 'umr ke KHali saghar
shor machata ruh ka sagar
KHamoshi hai dil ke andar
Dub chali hai sham-e-december
aankh samundar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.