aankhen baadal ban jaengi
jaane kyā baat huī
tum ne apnī rāheñ badlīñ
āñkheñ pherīñ
apnā ruḳh moḌ liyā
tum ko DhūñDne niklūñgī jab
āñkheñ bādal ban jā.eñgī
ġham ke saa.e baḌh jā.eñge
raah meñ patthar aa jā.eñge
raah ke kāñTe chunte chunte
paañv bhī chhalnī ho jā.eñge
zaḳhm sarāpā ban jā.ūñgī
ġham kī shiddat
raah añdherī
maiñ pāgal ho jā.ūñgī
dīvāroñ se bāteñ karke
apnā jī bahlā.ūñgī
kuchh to tum ne sochā hotā
jaane kya baat hui
tum ne apni rahen badlin
aankhen pherin
apna ruKH moD liya
tum ko DhunDne niklungi jab
aankhen baadal ban jaengi
gham ke sae baDh jaenge
rah mein patthar aa jaenge
rah ke kanTe chunte chunte
panw bhi chhalni ho jaenge
zaKHm sarapa ban jaungi
gham ki shiddat
rah andheri
main pagal ho jaungi
diwaron se baaten karke
apna ji bahlaungi
kuchh to tum ne socha hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.