aankhen bhul aaya hun
jis kamre meñ
tum donoñ ab pahroñ tanhā rahte ho
us kamre meñ
ġhaur se dekho
merī kitnī yādoñ
bātoñ
aur kitāboñ ke chehroñ meñ
harf vafā ke chhupe hue haiñ
zālim gard paḌī hai un par
us kamre kī ik ik shai ko
ġhaur se dekho
vahīñ
maiñ pāgal
apnī donoñ āñkheñ rakh kar
bhuul aayā huuñ
jis kamre mein
tum donon ab pahron tanha rahte ho
us kamre mein
ghaur se dekho
meri kitni yaadon
baaton
aur kitabon ke chehron mein
harf wafa ke chhupe hue hain
zalim gard paDi hai un par
us kamre ki ek ek shai ko
ghaur se dekho
wahin
main pagal
apni donon aankhen rakh kar
bhul aaya hun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 513)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.