aankhen
jab har saañs ik nashtar huā har lamha ḳhanjar kī tarah
jiine ko lalchātā dil barmātā ho
jab bechainī se ghabrāhaT se uljhī uñgliyāñ
apnī darāz meñ rakhe cyanide ke packet ko DhūñD rahī huuñ
jab raat añdherī
māyūsī aur udāsī be-zārī se
aur bhī ziyāda gahnā jaa.e
dard aur karb kī chādar oḌhe baḌhtī jaa.e
phailtī jaa.e
aise lamhoñ meñ duur
sitāroñ jaisī āñkheñ
ek mīThā sā giit guzre lamhāt meñ yādoñ kā sangīt
sunātī haiñ
dil ke TukḌe karne vaalī
ḳhvāboñ ko baḳhshish dene vaalī ek jhalak
shukriya terā kaise adā ho
jab har sans ek nashtar hua har lamha KHanjar ki tarah
jine ko lalchata dil barmata ho
jab bechaini se ghabrahaT se uljhi ungliyan
apni daraaz mein rakhe cyanide ke packet ko DhunD rahi hun
jab raat andheri
mayusi aur udasi be-zari se
aur bhi ziyaada gahna jae
dard aur karb ki chadar oDhe baDhti jae
phailti jae
aise lamhon mein dur
sitaron jaisi aankhen
ek miTha sa git guzre lamhat mein yaadon ka sangit
sunati hain
dil ke TukDe karne wali
KHwabon ko baKHshish dene wali ek jhalak
shukriya tera kaise ada ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.