aankhen meri baqi un ka
ḳhud dūdmān-e-qibla-e-ālam kareñ ḳhayāl
dil meñ bahut dinoñ se hai kāñTā chubhā huā
us ḳhāndāñ ke ek rañgīle piyā ke ghar
farzand-e-arjumand ke ḳhatna pe kyā huā
chashme ubal rahe the surūr-o-nashāt ke
thā chāvḌī kā naqsha-e-uryāñ khiñchā huā
is mahfil-e-nashāt ke narġhe meñ vo bhī the
chehre pe jin ke zohd-o-vara.a thā likhā huā
qavvāl gā rahe the ḳhuzū'-o-ḳhushū' se
rindān-e-bul-havas meñ thā ġhauġhā machā huā
bāda-gusār khol ke baiThe the botaleñ
thā ranDiyoñ ke sāmne huqqa dharā huā
na.at-e-nabī pe ismat-e-āvāra nukta-chīñ
ḳhauf-e-ḳhudā thā zohrā-vashoñ meñ ghirā huā
daulat ke Dher 'zāhidā' parvīn pe nisār
dahqān-e-ḳhasta-hāl kā chūlhā bujhā huā
the ḳhādimoñ ke peT pe patthar bañdhe hue
aur kanchanoñ pe bāb-e-saḳhāvat khulā huā
'shorish' us ek manzar-e-zohra-gudāz meñ
dast-e-duā thā arsh kī jānib uThā huā
is hashr-e-nau meñ qibla-e-ālam kahāñ the aap
dekhā to hogā aap ne jo mājrā huā
KHud dudman-e-qibla-e-alam karen KHayal
dil mein bahut dinon se hai kanTa chubha hua
us KHandan ke ek rangile piya ke ghar
farzand-e-arjumand ke KHatna pe kya hua
chashme ubal rahe the surur-o-nashat ke
tha chawDi ka naqsha-e-uryan khincha hua
is mahfil-e-nashat ke narghe mein wo bhi the
chehre pe jin ke zohd-o-wara tha likha hua
qawwal ga rahe the KHuzu'-o-KHushu' se
rindan-e-bul-hawas mein tha ghaugha macha hua
baada-gusar khol ke baiThe the botalen
tha ranDiyon ke samne huqqa dhara hua
nat-e-nabi pe ismat-e-awara nukta-chin
KHauf-e-KHuda tha zohra-washon mein ghira hua
daulat ke Dher 'zahida' parwin pe nisar
dahqan-e-KHasta-haal ka chulha bujha hua
the KHadimon ke peT pe patthar bandhe hue
aur kanchanon pe bab-e-saKHawat khula hua
'shorish' us ek manzar-e-zohra-gudaz mein
dast-e-dua tha arsh ki jaanib uTha hua
is hashr-e-nau mein qibla-e-alam kahan the aap
dekha to hoga aap ne jo majra hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.