aankhen ungliyan aur dil
raakh hī raakh hai is Dher meñ kyā rakkhā hai
khokhlī āñkheñ jahāñ bahtā rahā āb-e-hayāt
kab se ik ġhaar kī mānind paḌī haiñ vīrāñ
qabr meñ saañp kā bil jhāñk rahā ho jaise
raakh hī raakh hai
uñgliyāñ sadiyoñ ko lamhoñ meñ badalne vaalī
uñgliyāñ sher thiiñ naġhma thiiñ tarannum thiiñ kabhī
uñgliyāñ jin meñ tire lams kā jaadū thā kabhī
ab to bas sūkhī huī nāg-phanī hoñ jaise
raakh hī raakh hai
dil ki thā nāchtī gaatī huī pariyoñ kā jahāñ
an-ginat yādoñ kā armānoñ kā ik shīsh-mahal
terī tasvīr darīchoñ pe khaḌī hañstī thī
ab to pighle hue laave ke sivā kuchh bhī nahīñ
raakh ke jalte hue Dher meñ kyā pāoge
shahr se duur hai shamshān kahāñ jāoge
rakh hi rakh hai is Dher mein kya rakkha hai
khokhli aankhen jahan bahta raha aab-e-hayat
kab se ek ghaar ki manind paDi hain viran
qabr mein sanp ka bil jhank raha ho jaise
rakh hi rakh hai
ungliyan sadiyon ko lamhon mein badalne wali
ungliyan sher thin naghma thin tarannum thin kabhi
ungliyan jin mein tere lams ka jadu tha kabhi
ab to bas sukhi hui nag-phani hon jaise
rakh hi rakh hai
dil ki tha nachti gati hui pariyon ka jahan
an-ginat yaadon ka armanon ka ek shish-mahal
teri taswir darichon pe khaDi hansti thi
ab to pighle hue lawe ke siwa kuchh bhi nahin
rakh ke jalte hue Dher mein kya paoge
shahr se dur hai shamshan kahan jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.