aankhen uski KHwab
āñkheñ us kī ḳhvāb
dil kahtā hai dekhe jā.ūñ
raushan vo mahtāb
chhoḌo ye āñchal
aisā na ho phail hī jaa.e
āñkhoñ meñ kājal
ye furqat ye duurī
kabhī to milne aa sakte ho
aisī kyā majbūrī
itnā rakhnā yaad
koī mohabbat de nahīñ saktā
tum ko mere baad
tanhā.ī kī shaam
chāhūñ bhī to kar nahīñ saktī
sājan tere naam
sardī kā mausam
is par dil meñ aag lagā.e
furqat kā aalam
paḌ gayā har koī maañd
jab bāñhoñ meñ le kar mujh ko
jhiil meñ utrā chāñd
ye lo merā haath
aur apnī chāhat se likh do
is par dil kī baat
mahke ye gajre
kitne achchhe lagte haiñ na
chāhat ke tohfe
is bastī ke log
apne saath lagā baiThe haiñ
jaane kis kā rog
aankhen us ki KHwab
dil kahta hai dekhe jaun
raushan wo mahtab
chhoDo ye aanchal
aisa na ho phail hi jae
aankhon mein kajal
ye furqat ye duri
kabhi to milne aa sakte ho
aisi kya majburi
itna rakhna yaad
koi mohabbat de nahin sakta
tum ko mere baad
tanhai ki sham
chahun bhi to kar nahin sakti
sajan tere nam
sardi ka mausam
is par dil mein aag lagae
furqat ka aalam
paD gaya har koi mand
jab banhon mein le kar mujh ko
jhil mein utra chand
ye lo mera hath
aur apni chahat se likh do
is par dil ki baat
mahke ye gajre
kitne achchhe lagte hain na
chahat ke tohfe
is basti ke log
apne sath laga baiThe hain
jaane kis ka rog
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.