aankhon ki tajdid
āḳhir kaar mere dost
tum ne āñkhoñ kī tajdīd kā faisla kar hī Daalā
an-dekhe kī diid ījād karne ke liye
tum ne kaise daryāft kiyā ki chīzeñ
ek asiil nigāh ke qābil nahīñ rahīñ
ye saarī kā.enāt ek sapāT tasvīr hai
jis se utnī jagah bhī nahīñ bharī jā saktī
jo tumhāre canvas meñ ḳhilqatan maujūd hai
tum ne behtar jaanā ki āñkhoñ par se
kuchh parteñ utaar do
tā-ki vo dekh leñ kaise ījād kiyā jaatā hai
vo manzar jahāñ har shai na.e sire se
mash.hūr aur masnūa aur maujūd hai
aaKHir kar mere dost
tum ne aankhon ki tajdid ka faisla kar hi Dala
an-dekhe ki did ijad karne ke liye
tum ne kaise daryaft kiya ki chizen
ek asil nigah ke qabil nahin rahin
ye sari kaenat ek sapaT taswir hai
jis se utni jagah bhi nahin bhari ja sakti
jo tumhaare canwas mein KHilqatan maujud hai
tum ne behtar jaana ki aankhon par se
kuchh parten utar do
ta-ki wo dekh len kaise ijad kiya jata hai
wo manzar jahan har shai nae sire se
mashhur aur masnua aur maujud hai
- Book : andhi ka rajz (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.