aankhon se ojhal duniya ke ek nazm
hameñ kyā pata hai
ye mumkin hai phuul aur patthar
havā raushnī
ret paanī
ye dariyā pahāḌ aur sahrā kā aapas meñ rishta ho
patthar ke siine meñ bhī dil dhaḌaktā ho
paanī bhī zinda ho
ā.īna dar-asl insān ho
chāñd tāroñ meñ sadiyoñ kī ik dushmanī ho
hameñ kyā pata hai
ye mumkin hai
aapas meñ vo bāteñ karte hoñ
rote hoñ
hañste hoñ
ulfat mohabbat ho
ranjish hoñ jhagḌe
koī in meñ shīrīñ
koī in meñ lailā ho
in meñ bhī qisse kahāvat
mohabbat shujā.at kī rasmeñ hoñ
vo bhī judā.ī ke sadme
hamārī tarah jhelte hoñ
hamārī tarah vo bhī jiite hoñ
marte hoñ
mumkin hai
sannāTā dar-asl āvāz ho
maut hī zindagī ho
aur insāñ ḳhudā se baḌā ho
hameñ kyā pata hai
ye mumkin hai
hamein kya pata hai
ye mumkin hai phul aur patthar
hawa raushni
ret pani
ye dariya pahaD aur sahra ka aapas mein rishta ho
patthar ke sine mein bhi dil dhaDakta ho
pani bhi zinda ho
aaina dar-asl insan ho
chand taron mein sadiyon ki ek dushmani ho
hamein kya pata hai
ye mumkin hai
aapas mein wo baaten karte hon
rote hon
hanste hon
ulfat mohabbat ho
ranjish hon jhagDe
koi in mein shirin
koi in mein laila ho
in mein bhi qisse kahawat
mohabbat shujaat ki rasmen hon
wo bhi judai ke sadme
hamari tarah jhelte hon
hamari tarah wo bhi jite hon
marte hon
mumkin hai
sannaTa dar-asl aawaz ho
maut hi zindagi ho
aur insan KHuda se baDa ho
hamein kya pata hai
ye mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.