aansuon ke ratjagon se
saare manzar ek jaise
saarī duniyā ek sī
nāshpātī ke daraḳhtoñ se
khajūroñ kī ghanī shāḳhoñ talak
duniyā achānak ek jaisī ho ga.ī hai
misr ke ahrām kī mahzūñ fazā.eñ
dam-ba-ḳhud haiñ kuufa o baġhdād ke bāzār meñ
kāzimain o mash.had-e-e.arāq se nauhe nikal kar
sarhad-e-labnān tak pahuñche hue haiñ
shahr-e-dillī ke añdhere
zulmat-e-lahore se milne lage haiñ
shor kābul kā sunā.ī detā hai
bartānia kī mahfiloñ meñ
ḳhvāhish-e-newyark zinda hotī hai
Dhāke kī purānī dilrubā galiyoñ meñ
goyā saarī duniyā ek jaisī ho ga.ī hai
saare manzar ek se
ujḌī huī āñkhoñ meñ saare ḳhvāb
yādoñ kā fusūñ ummīd ke saare fasurda āftāb
ek ho sakte haiñ
aao in se mil-milā kar ik jahān-e-tāza-tar paidā kareñ
in lahū kī būñdoñ se
raste sajā.eñ
āñsuoñ ke ratjagoñ se ārzū-e-chashm-e-tar paidā kareñ
sare manzar ek jaise
sari duniya ek si
nashpati ke daraKHton se
khajuron ki ghani shaKHon talak
duniya achanak ek jaisi ho gai hai
misr ke ahram ki mahzun fazaen
dam-ba-KHud hain kufa o baghdad ke bazar mein
kazimain o mashhad-e-earaq se nauhe nikal kar
sarhad-e-labnan tak pahunche hue hain
shahr-e-dilli ke andhere
zulmat-e-lahore se milne lage hain
shor kabul ka sunai deta hai
bartania ki mahfilon mein
KHwahish-e-newyark zinda hoti hai
Dhake ki purani dilruba galiyon mein
goya sari duniya ek jaisi ho gai hai
sare manzar ek se
ujDi hui aankhon mein sare KHwab
yaadon ka fusun ummid ke sare fasurda aaftab
ek ho sakte hain
aao in se mil-mila kar ek jahan-e-taza-tar paida karen
in lahu ki bundon se
raste sajaen
aansuon ke ratjagon se aarzu-e-chashm-e-tar paida karen
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 10)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.