aansuon ko bahne ki lat lag gai hai
kuchh nahīñ dekhte
jin āñkhoñ se vo bah rahe haiñ
vo us vaqt bhiiḌ meñ haiñ yā
sannāTe meñ
kis kis kā vo āñkheñ pīchhā kar rahī haiñ
kyā vo galī kā bachcha
jo jaltī dopahar meñ nañge paañv chal rahā hai
yā vo būḌhe haath jo bhārī cement kī borī
apnī piiTh par lādne kī koshish meñ mubtalā haiñ
kyoñ dekhtī haiñ āñkheñ
ūT-paTāñg manzar
bahut samjhāyā maiñ ne un āñkhoñ ko
lekin haT-dharmī se DaTī huī haiñ
baaz nahīñ ātīñ
apnī is lat se
kuchh nahin dekhte
jin aankhon se wo bah rahe hain
wo us waqt bhiD mein hain ya
sannaTe mein
kis kis ka wo aankhen pichha kar rahi hain
kya wo gali ka bachcha
jo jalti dopahar mein nange panw chal raha hai
ya wo buDhe hath jo bhaari cement ki bori
apni piTh par ladne ki koshish mein mubtala hain
kyon dekhti hain aankhen
uT-paTang manzar
bahut samjhaya main ne un aankhon ko
lekin haT-dharmi se DaTi hui hain
baz nahin aatin
apni is lat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.