aansu
ġham kā jab koī manzar
haañ ba-faiz-e-bīnā.ī
ruuh se guzartā hai
dil talak pahuñchtā hai
tab kahīñ pahuñchtī hai
aañkh tak namī dil kī
jin kī ḳhushk āñkhoñ ko
ye namī nahīñ hāsil
un ke paas sab kuchh hai
par mujhe yaqīñ hai 'adīl'
hai magar kamī dil kī
gham ka jab koi manzar
han ba-faiz-e-binai
ruh se guzarta hai
dil talak pahunchta hai
tab kahin pahunchti hai
aankh tak nami dil ki
jin ki KHushk aankhon ko
ye nami nahin hasil
un ke pas sab kuchh hai
par mujhe yaqin hai 'adil'
hai magar kami dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.