aansu
dekhe haiñ jo mizhgāñ pe larazte hue aañsū
billor kī sūrat meñ damakte hue aañsū
dete haiñ pata gauhar-e-nāyāb kī sūrat
furqat kī siyah raat meñ bahte hue aañsū
hotā hai gumāñ laala ke sho.aloñ pe hai shabnam
girte haiñ jo aariz pe damakte hue aañsū
dāman meñ simaT aa.e haiñ aflāk se taare
ehsās kī āñkhoñ se nikalte hue aañsū
ai 'aish' raheñ dil meñ to sarmāya-e-jāñ haiñ
ashrār meñ palkoñ pe larazte hue aañsū
dekhe hain jo mizhgan pe larazte hue aansu
billor ki surat mein damakte hue aansu
dete hain pata gauhar-e-nayab ki surat
furqat ki siyah raat mein bahte hue aansu
hota hai guman lala ke shoalon pe hai shabnam
girte hain jo aariz pe damakte hue aansu
daman mein simaT aae hain aflak se tare
ehsas ki aankhon se nikalte hue aansu
ai 'aish' rahen dil mein to sarmaya-e-jaan hain
ashrar mein palkon pe larazte hue aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.