aao amar ho jaen
har sāl-e-nau ko mil ke
ye rasm hai banā.ī
lekin hai yaad rakhnā
jo saal pichhlā guzrā
jo hādse hue haiñ
jo fāsle hue haiñ
kuchh rābte baḌhe haiñ
kuchh silsile kaTe haiñ
mahfūz pahle kar leñ
mazbūt pahle kar leñ
phir ḳhush-gavār lamhe
ḳhushbū bharī vo bāteñ
sab chāñdnī kī rāteñ
yādoñ kī kahkashā.eñ
kundan sī ātmā.eñ
sab chandrmā se chehre
nikhre hue savere
aashā ke diip bhī hoñ
sochoñ ke siip bhī hoñ
maḳhmūr hoñ ghaTā.eñ
mas.hūr hoñ fazā.eñ
āñchal dhanak se bikhreñ
sāthī na koī bichhḌeñ
bāġh-o-bahār man ho
man meñ yahī lagan ho
aao ki aaj ke din
phir ek baar mil ke tajdīd-e-ahd kar leñ
is des kī zamīñ meñ
ḳhushiyāñ samar lagā.eñ
aao amar ho jaa.eñ
har sal-e-nau ko mil ke
ye rasm hai banai
lekin hai yaad rakhna
jo sal pichhla guzra
jo hadse hue hain
jo fasle hue hain
kuchh rabte baDhe hain
kuchh silsile kaTe hain
mahfuz pahle kar len
mazbut pahle kar len
phir KHush-gawar lamhe
KHushbu bhari wo baaten
sab chandni ki raaten
yaadon ki kahkashaen
kundan si aatmaen
sab chandrma se chehre
nikhre hue sawere
aasha ke dip bhi hon
sochon ke sip bhi hon
maKHmur hon ghaTaen
mashur hon fazaen
aanchal dhanak se bikhren
sathi na koi bichhDen
bagh-o-bahaar man ho
man mein yahi lagan ho
aao ki aaj ke din
phir ek bar mil ke tajdid-e-ahd kar len
is des ki zamin mein
KHushiyan samar lagaen
aao amar ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.