aao bachcho hum sab banaen
apnā apnā bhuul calender
jitnā kuchh ham bhuul ga.e haiñ
jo jo ham se bhuul huī hai
vo sab likkheñ
vo bhī jo ham bhūlnā chāhte haiñ
vo bhī jo ham bhuul nahīñ paate haiñ
vo sab chehre jo yādoñ kī bhūl-bhulayyoñ meñ sote haiñ
unheñ jagā deñ
bhuul calender meñ un kī tasvīr lagā deñ
aur rozāna bhuul calender dekh ke nikleñ
us din pichhle baras meñ ham ne kyā boyā thā kyā paayā thā
kyā paane se kyā khoyā thā
kyā khone se kyā paayā thā
mushkil ke kis kis lamhe meñ
kis ne apnā haath chhuḌāyā
aur kaun kitnā kaam aaya thā
bhuul na jaanā bhuul calender
ab rozāna bhuul calender
apna apna bhul calender
jitna kuchh hum bhul gae hain
jo jo hum se bhul hui hai
wo sab likkhen
wo bhi jo hum bhulna chahte hain
wo bhi jo hum bhul nahin pate hain
wo sab chehre jo yaadon ki bhul-bhulayyon mein sote hain
unhen jaga den
bhul calender mein un ki taswir laga den
aur rozana bhul calender dekh ke niklen
us din pichhle baras mein hum ne kya boya tha kya paya tha
kya pane se kya khoya tha
kya khone se kya paya tha
mushkil ke kis kis lamhe mein
kis ne apna hath chhuDaya
aur kaun kitna kaam aaya tha
bhul na jaana bhul calender
ab rozana bhul calender
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.