aao behtar banaen hum ye jahan
aao behtar banā.eñ ham ye jahāñ
rāhatoñ se sajā.eñ ham ye jahāñ
ġham ke māroñ ko ham ḳhushī de deñ
in fazāoñ ko zindagī de deñ
khoj meñ haiñ sukūñ kī sab insāñ
aao behtar banā.eñ ham ye jahāñ
gumrahī hai to rāsta rakh deñ
in añdheroñ meñ ik diyā rakh deñ
manziloñ kā nahīñ hai nām-o-nishāñ
aao behtar banā.eñ ham ye jahāñ
muntazir haiñ sabhī saverā ho
muskurātā har ek chehra ho
bin khile na raheñ kahīñ kaliyāñ
aao behtar banā.eñ ham ye jahāñ
aao behtar banaen hum ye jahan
rahaton se sajaen hum ye jahan
gham ke maron ko hum KHushi de den
in fazaon ko zindagi de den
khoj mein hain sukun ki sab insan
aao behtar banaen hum ye jahan
gumrahi hai to rasta rakh den
in andheron mein ek diya rakh den
manzilon ka nahin hai nam-o-nishan
aao behtar banaen hum ye jahan
muntazir hain sabhi sawera ho
muskuraata har ek chehra ho
bin khile na rahen kahin kaliyan
aao behtar banaen hum ye jahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.