aao chalen us khanDar mein
jo arsa pahle TuuT gayā
kuchh yādeñ un meñ baaqī haiñ
fariyādeñ bhī kuchh baaqī haiñ
shahnā.ī kā hai koī maddham sur
un dīvāroñ meñ guuñj rahā
aao chaleñ us khañDar meñ
jo arsa pahle TuuT gayā
kuchh saa.e hamāre bachpan ke
kuchh yaad hamāre logoñ kī
is khañDar se vābasta haiñ
thī naqsh bahut sī tasvīreñ
is khañDar kī dīvāroñ par
tum jānte ho vo kis kī thiiñ
kuchh bachchoñ kī kuchh būḌhoñ kī
kuchh mere apne bachpan kī
aao chaleñ us khañDar meñ
jo arsa pahle TuuT gayā
aur
saath bahut kuchh luuT gayā
vo dekh rahe ho banjar til
is khañDar kā vo hissa thā
tab sahn use ham kahte the
sab mil ke us meñ rote the
shaam kī aksar chaa.e ham
us jā par baiTh ke piite the
aao chaleñ us hisse meñ
jahāñ baiTh ke ham sab paḌhte the
shor machāyā karte the
aur sab ko hañsāyā karte the
kabhī laḌte the kabhī rote the
ye dekho ye jo miTTī hai
ham is meñ khelā karte the
aur ghanToñ khelā karte the
vo dekho vo TuuTī DevḌhī
mere ghar kī chaukhaT hai
har saal nayā sā rañg koī
ham log chaḌhāte the is par
jānte ho ye khañDar kabhī
ābād bhī thā shādāb bhī thā
ham log isī meñ rahte the
ye ghar thā hamārā pyārā sā
aur pyāre pyāre log bahut se
saath hamāre rahte the
ham jashn manāyā karte the
un chāhne vaale logoñ ke
lahje kī lahak āñkhoñ kī chamak
qadmoñ kī dhamak
us ghar kī fazā meñ guuñj rahī
tum ġhaur karo āhista chalo
ye khañDar nahīñ hai ghar hai mirā
is gardish-e-daurāñ ne jis ko
yuuñ luuT liyā barbād kiyā
maiñ lauT ke ab jo aa.ī huuñ
asbāb bahut se laa.ī huuñ
par sunñe vaalā koī nahīñ
nāyāb hue vo log sabhī
vo āñkheñ thak ke muñd bhī ga.ī
jo raat ko jaagā kartī thiiñ
ab ye to bas ik khañDar hai
aao chaleñ is khañDar meñ
jo arsa pahle TuT gaya
kuchh yaaden un mein baqi hain
fariyaaden bhi kuchh baqi hain
shahnai ka hai koi maddham sur
un diwaron mein gunj raha
aao chalen us khanDar mein
jo arsa pahle TuT gaya
kuchh sae hamare bachpan ke
kuchh yaad hamare logon ki
is khanDar se wabasta hain
thi naqsh bahut si taswiren
is khanDar ki diwaron par
tum jaante ho wo kis ki thin
kuchh bachchon ki kuchh buDhon ki
kuchh mere apne bachpan ki
aao chalen us khanDar mein
jo arsa pahle TuT gaya
aur
sath bahut kuchh luT gaya
wo dekh rahe ho banjar til
is khanDar ka wo hissa tha
tab sahn use hum kahte the
sab mil ke us mein rote the
sham ki aksar chae hum
us ja par baiTh ke pite the
aao chalen us hisse mein
jahan baiTh ke hum sab paDhte the
shor machaya karte the
aur sab ko hansaya karte the
kabhi laDte the kabhi rote the
ye dekho ye jo miTTi hai
hum is mein khela karte the
aur ghanTon khela karte the
wo dekho wo TuTi DewDhi
mere ghar ki chaukhaT hai
har sal naya sa rang koi
hum log chaDhate the is par
jaante ho ye khanDar kabhi
aabaad bhi tha shadab bhi tha
hum log isi mein rahte the
ye ghar tha hamara pyara sa
aur pyare pyare log bahut se
sath hamare rahte the
hum jashn manaya karte the
un chahne wale logon ke
lahje ki lahak aankhon ki chamak
qadmon ki dhamak
us ghar ki faza mein gunj rahi
tum ghaur karo aahista chalo
ye khanDar nahin hai ghar hai mera
is gardish-e-dauran ne jis ko
yun luT liya barbaad kiya
main lauT ke ab jo aai hun
asbab bahut se lai hun
par sunne wala koi nahin
nayab hue wo log sabhi
wo aankhen thak ke mund bhi gai
jo raat ko jaga karti thin
ab ye to bas ek khanDar hai
aao chalen is khanDar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.