aao kamre se nikalte hain
Interesting Fact
(September 1985)
aao kamre se nikalte haiñ kahīñ chalte haiñ
rauzan-e-habs meñ Thahrī huī zindāñ kī havā
pā-ba-zanjīr kiye jaatī hai
har taraf ḳhauf bharī āñkhoñ meñ
ek talvār sī lahrātī hai
koī dar baaz nahīñ
zer-e-lab bhī koī āvāz nahīñ
aisā andesha-e-kam-yābī-e-harf
kuchh bhī to yaad nahīñ
ham koī baat salīqe se nahīñ kahte the
is pe bhī shoḳhī-e-guftār kā aalam ye thā
ek pal chup bhī nahīñ rahte the
aao kamre se nikalte haiñ kahīñ chalte haiñ
duur peḌoñ se ulajhtī huī ḳhvābīda havā kā dāman
chupke se khīñchte haiñ
aao kahīñ baiThte haiñ
ham vahī āb-o-havā bhī hai vahī
asar-e-āb-o-havā koī nahīñ
saañs lene kī sazā bhī hai vahī
aur phir aisī sazā koī nahīñ
tesha-e-jabr se Takrā.e hue hāthoñ meñ
nāma-e-ahd-e-vafā bhī hai vahī
is meñ bhī bū-e-vafā koī nahīñ
aur agar hai
to patā koī nahīñ
aao phir aisā kareñ
dil meñ jo kuchh bhī hai tahrīr kareñ paanī par
yā phir ik duuje kī peshānī par
aab aur aag ke is khel meñ mālūm nahīñ
kaun hai kis kī nigahbānī par
phir bhī mahsūs to hotā hai hameñ
koī māmūr hai nigarānī par
koī āvāz
koī harf-e-sadā
zer-e-lab koī duā
yā koī chīḳh ki sannāTe kī dīvār gire
aur lagātār gire
aao kamre se nikalte haiñ kahīñ chalte haiñ
ham jo hairānī se ik dūsre ko takte haiñ
aao kamre se nikalte hain kahin chalte hain
rauzan-e-habs mein Thahri hui zindan ki hawa
pa-ba-zanjir kiye jati hai
har taraf KHauf bhari aankhon mein
ek talwar si lahraati hai
koi dar baz nahin
zer-e-lab bhi koi aawaz nahin
aisa andesha-e-kam-yabi-e-harf
kuchh bhi to yaad nahin
hum koi baat saliqe se nahin kahte the
is pe bhi shoKHi-e-guftar ka aalam ye tha
ek pal chup bhi nahin rahte the
aao kamre se nikalte hain kahin chalte hain
dur peDon se ulajhti hui KHwabida hawa ka daman
chupke se khinchte hain
aao kahin baiThte hain
hum wahi aab-o-hawa bhi hai wahi
asar-e-ab-o-hawa koi nahin
sans lene ki saza bhi hai wahi
aur phir aisi saza koi nahin
tesha-e-jabr se Takrae hue hathon mein
nama-e-ahd-e-wafa bhi hai wahi
is mein bhi bu-e-wafa koi nahin
aur agar hai
to pata koi nahin
aao phir aisa karen
dil mein jo kuchh bhi hai tahrir karen pani par
ya phir ek duje ki peshani par
aab aur aag ke is khel mein malum nahin
kaun hai kis ki nigahbani par
phir bhi mahsus to hota hai hamein
koi mamur hai nigarani par
koi aawaz
koi harf-e-sada
zer-e-lab koi dua
ya koi chiKH ki sannaTe ki diwar gire
aur lagatar gire
aao kamre se nikalte hain kahin chalte hain
hum jo hairani se ek dusre ko takte hain
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 205)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.