aao mil kar chalen
aao mil kar chaleñ
aao mil kar chaleñ
ek duuje kā ab ham sahārā baneñ
vaqt kī qaid meñ
maiñ bhī huuñ tum bhī ho
kyoñ na mil kar ye pal ham guzāreñ
phīkī duniyā meñ mīThī sī bātoñ ke rang
aao mil kar bhareñ
aao mil kar chaleñ
tum bano āftāb aur maiñ māhtāb
ho munavvar hamīñ se ye ḳhaak aur aab
āsmāñ ko zamīñ meñ dikhe aa.ina
is añdhere ko din aur mil paa.eñ na
raushnī kā sabab aao mil kar baneñ
aao mil kar chaleñ
aao tanhā.iyoñ se bharī raat meñ
vasl kā mil ke ham bol-bālā kareñ
ek duuje kī ḳhātir ujālā kareñ
ek duuje ke dil kī vo sarhad baneñ
jis ke nazdīk bhī ġham bhaTak na sakeñ
vo purānī ḳhizāoñ ke kāñTe sabhī
jo diloñ meñ chubhe rah ga.e the kabhī
un ko mil kar chuneñ
kyoñ na mil kar raheñ
aur kar deñ bahāroñ ko yuuñ jāvedāñ
aa na paa.e kabhī bhī ḳhizāñ phir yahāñ
barg-e-gul kī tarah dil mahakne lageñ
aao mil kar chaleñ
aao mil kar chalen
aao mil kar chalen
ek duje ka ab hum sahaara banen
waqt ki qaid mein
main bhi hun tum bhi ho
kyon na mil kar ye pal hum guzaren
phiki duniya mein miThi si baaton ke rang
aao mil kar bharen
aao mil kar chalen
tum bano aaftab aur main mahtab
ho munawwar hamin se ye KHak aur aab
aasman ko zamin mein dikhe aaina
is andhere ko din aur mil paen na
raushni ka sabab aao mil kar banen
aao mil kar chalen
aao tanhaiyon se bhari raat mein
wasl ka mil ke hum bol-baala karen
ek duje ki KHatir ujala karen
ek duje ke dil ki wo sarhad banen
jis ke nazdik bhi gham bhaTak na saken
wo purani KHizaon ke kanTe sabhi
jo dilon mein chubhe rah gae the kabhi
un ko mil kar chunen
kyon na mil kar rahen
aur kar den bahaaron ko yun jawedan
aa na pae kabhi bhi KHizan phir yahan
barg-e-gul ki tarah dil mahakne lagen
aao mil kar chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.