aap-biti
mere ḳhvāboñ ke shabistāñ meñ ujālā na karo
ki bahut duur saverā nazar aatā hai mujhe
chhap ga.e haiñ mirī nazroñ se ḳhad-o-ḳhāl-e-hayāt
har taraf abr ghanerā nazar aatā hai mujhe
chāñd taare to kahāñ ab koī jugnū bhī nahīñ
kitnā shaffāf añdherā nazar aatā hai mujhe
koī tābinda kiran yuuñ mire dil par lapkī
jaise so.e hue mazlūm pe talvār uThe
kisī naġhme kī sadā guuñj ke yuuñ tharrā.ī
jaise TuuTī huī pāzeb se jhankār uThe
maiñ ne palkoñ ko uThāyā bhī to aañsū paa.e
mujh se ab ḳhaak javānī kā koī baar uThe
tum ne rātoñ meñ sitāre to TaTole hoñge
maiñ ne rātoñ meñ añdhere hī añdhere dekhe
tum ne ḳhvāboñ ke paristāñ to sajā.e hoñge
maiñ ne māhaul ke shab-rañg pharere dekhe
tum ne ik taar kī jhankār to sun lī hogī
maiñ ne gītoñ meñ udāsī ke basere dekhe
mire ġham-ḳhvār mire dost tumheñ kyā ma.alūm
zindagī maut ke mānind guzārī maiñ ne
ek bigḌī huī sūrat ke sivā kuchh bhī na thā
jab bhī hālāt kī tasvīr utārī maiñ ne
kisī aflāk-nashīñ ne mujhe dhutkār diyā
jab bhī rokī hai muqaddar kī savārī maiñ ne
mire ġham-ḳhvār mire dost tumheñ kyā ma.alūm!
mere KHwabon ke shabistan mein ujala na karo
ki bahut dur sawera nazar aata hai mujhe
chhap gae hain meri nazron se KHad-o-KHal-e-hayat
har taraf abr ghanera nazar aata hai mujhe
chand tare to kahan ab koi jugnu bhi nahin
kitna shaffaf andhera nazar aata hai mujhe
koi tabinda kiran yun mere dil par lapki
jaise soe hue mazlum pe talwar uThe
kisi naghme ki sada gunj ke yun tharrai
jaise TuTi hui pazeb se jhankar uThe
main ne palkon ko uThaya bhi to aansu pae
mujh se ab KHak jawani ka koi bar uThe
tum ne raaton mein sitare to TaTole honge
main ne raaton mein andhere hi andhere dekhe
tum ne KHwabon ke paristan to sajae honge
main ne mahaul ke shab-rang pharere dekhe
tum ne ek tar ki jhankar to sun li hogi
main ne giton mein udasi ke basere dekhe
mere gham-KHwar mere dost tumhein kya malum
zindagi maut ke manind guzari main ne
ek bigDi hui surat ke siwa kuchh bhi na tha
jab bhi haalat ki taswir utari main ne
kisi aflak-nashin ne mujhe dhutkar diya
jab bhi roki hai muqaddar ki sawari main ne
mere gham-KHwar mere dost tumhein kya malum!
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 37)
- Author : qatiil shifai
- Publication : farid book depot(p)ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.