aap ek ishtial-angez shair hain
ehtajājī muzāhire ke daurān
idhar udhar bhāgte hue
logoñ ke beach saḌak par phaTne vaale
aañsū gas ke shel kī tarah
aap kī nazmeñ paḌhte hue
āñkhoñ meñ jalan hone lagtī hai
gale meñ ḳharāsheñ paḌ jaatī haiñ
naak se be-tahāshā paanī bahne lagtā hai
bhāgne vaale logoñ kī tarah
dil bahut zor se dhaḌakne lagtā hai
apnī hāliya nazmoñ meñ
sīvrej pipe ke saath
chalne vaalī ḳhud-rav beloñ ke bajā.e
aap gande paanī kā zikr kar rahe haiñ
railway line ke aas paas
khilne vaale phūloñ ke bajā.e express train par
nā-mālūm dākuoñ kī firing kā zikr
ḳhatre kī alāmat hai
aur kolhī auratoñ ke ḳhilāf police operation kī baat to
intihā.ī pareshān-kun hai
world-cup kī ḳhushī meñ
havā.ī firing se halāk hone vaalī
aurat kī maut mahz ittifāqiya thī
aap us kī yaad meñ na.re-bāzī na kareñ
qā.ed-e-hazb-e-iḳhtilāf kī tarah
aap ko hamārī har policy se iḳhtilāf hai
aap ke liye hamārā har ā.īnī qadam ġhair ā.īnī hai
aur hamārī har peshkash qubūl
aap ko hamārī har baat par ġhussa aatā hai
aur hameñ ḳhair chhoḌeñ
aap kī na.ī nazm kā har lafz
kirā.e ke gorīloñ kī bandūqoñ se
nikalne vaalī goliyoñ kī tarah hai
ham aap ko ek sazā-yāfta dahshat banā sakte haiñ
yā ek ġhair-mulkī agnet qarār de sakte haiñ
aap ġhaddār bhī ho sakte haiñ
magar filhāl hamāre liye
aap ek ishti.āl-añgez shā.ir haiñ
ehtajaji muzahire ke dauran
idhar udhar bhagte hue
logon ke beach saDak par phaTne wale
aansu gas ke shel ki tarah
aap ki nazmen paDhte hue
aankhon mein jalan hone lagti hai
gale mein KHarashen paD jati hain
nak se be-tahasha pani bahne lagta hai
bhagne wale logon ki tarah
dil bahut zor se dhaDakne lagta hai
apni haaliya nazmon mein
siwrej pipe ke sath
chalne wali KHud-raw belon ke bajae
aap gande pani ka zikr kar rahe hain
railway line ke aas pas
khilne wale phulon ke bajae express train par
na-malum dakuon ki firing ka zikr
KHatre ki alamat hai
aur kolhi auraton ke KHilaf police operation ki baat to
intihai pareshan-kun hai
world-cup ki KHushi mein
hawai firing se halak hone wali
aurat ki maut mahz ittifaqiya thi
aap us ki yaad mein nare-bazi na karen
qaed-e-hazb-e-iKHtilaf ki tarah
aap ko hamari har policy se iKHtilaf hai
aap ke liye hamara har aaini qadam ghair aaini hai
aur hamari har peshkash qubul
aap ko hamari har baat par ghussa aata hai
aur hamein KHair chhoDen
aap ki nai nazm ka har lafz
kirae ke gorilon ki banduqon se
nikalne wali goliyon ki tarah hai
hum aap ko ek saza-yafta dahshat bana sakte hain
ya ek ghair-mulki agnet qarar de sakte hain
aap ghaddar bhi ho sakte hain
magar filhaal hamare liye
aap ek ishtial-angez shair hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 241)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.