aap kya karte hain
aap kyā karte haiñ
maiñ daraḳht lagātā huuñ
har raat ek nayā daraḳht
sub.h hone tak
āsmān se jā lagtā hai
merā daraḳht
ab tak to jañgal ban gayā hogā
haañ ka.ī jañgal haiñ
sab ke sab āsmān se mile hue
magar kisī meñ dhuup nahīñ hotī
aur jānvar aur parinde
vo kyā karte haiñ
sab haiñ baiThe rahte haiñ
ek hī daraḳht ke nīche
jo maiñ ne sab se pahle lagāyā thā
aur aap kahāñ rahte haiñ
maiñ usī daraḳht ke andar
aap kya karte hain
main daraKHt lagata hun
har raat ek naya daraKHt
subh hone tak
aasman se ja lagta hai
mera daraKHt
ab tak to jangal ban gaya hoga
han kai jangal hain
sab ke sab aasman se mile hue
magar kisi mein dhup nahin hoti
aur jaanwar aur parinde
wo kya karte hain
sab hain baiThe rahte hain
ek hi daraKHt ke niche
jo main ne sab se pahle lagaya tha
aur aap kahan rahte hain
main usi daraKHt ke andar
- Book : saarii nazmen (Pg. 593)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.