aape ranjha hoi
maġhribī sahrā ke kināre kundan ke phuul khilnā shurūa ho ga.e haiñ
mashriqī sahrā ke bīchoñ-bīch khaḌī sundarī kī naak kā lauñg murjhā gayā hai
ye kis tārīḳh ke aḳhbār kī ḳhabar hai
koī ishtihār hai kyā
dīvāroñ pe lakīreñ na Daalo miTāoge to tumhāre hī haath kaale hoñge
haañ khel khel meñ hī dallālī siikh jāoge ko.eloñ kā to bahāna hai
ko.ele chār-din aur dahak rahe haiñ
pañkhe mere dil meñ lage haiñ mujhe ab bhī sardī lagtī hai
barf kī vo Dalī pighaltī kyuuñ nahīñ jis kī ā.īne jaisī sat.h par
merā chehra bhī mujhe dikhā.ī kyuuñ nahīñ detā darmiyān kaun haa.il hai
garm larazte hue aañsū aur milne kī tā-hañg
āñsuoñ ke jhakole meñ hamāre chehre Dislocate ho ga.e haiñ
aur phir saañs se saañs na milī
dam meñ dam na aayā
rāñjhā rāñjhā kūkdī maiñ aape rāñjhan hoī
maghribi sahra ke kinare kundan ke phul khilna shurua ho gae hain
mashriqi sahra ke bichon-bich khaDi sundari ki nak ka laung murjha gaya hai
ye kis tariKH ke aKHbar ki KHabar hai
koi ishtihaar hai kya
diwaron pe lakiren na Dalo miTaoge to tumhaare hi hath kale honge
han khel khel mein hi dallali sikh jaoge koelon ka to bahana hai
koele chaar-din aur dahak rahe hain
pankhe mere dil mein lage hain mujhe ab bhi sardi lagti hai
barf ki wo Dali pighalti kyun nahin jis ki aaine jaisi sath par
mera chehra bhi mujhe dikhai kyun nahin deta darmiyan kaun hail hai
garm larazte hue aansu aur milne ki ta-hang
aansuon ke jhakole mein hamare chehre Dislocate ho gae hain
aur phir sans se sans na mili
dam mein dam na aaya
ranjha ranjha kukdi main aape ranjhan hoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.