aaram hai hamara
na rakh niyām meñ rahne de be-niyām abhī
tū is ko haath meñ kuchh der aur thaam abhī
kuchh aur lenā hai ḳhanjar se tujh ko kaam abhī
adū kā kaam huā hai kahāñ tamām abhī
muhāfiz-e-vatan ārām hai harām abhī
abhī to chhā.ī huī hai ufuq pe ġham kī ghaTā
abhī to shoa.la-fishāñ hai himaliya kī fazā
abhī to chaltī hai sarhad par tund-o-tez havā
sukūñ kā ḳhvāb hai yak surḳhiyān-e-ḳhām abhī
muhāfiz-evatan ārām hai harām abhī
abhī to jam.a hai sarhad pe lashkar-e-aġhyār
abhī to āñkheñ dikhātā hai ġhāsib-e-ġhaddār
abhī to maa.il shar hai junūn-e-fitna-shi.ār
use pilānā hai zahr-e-ajal kā jaam abhī
muhāfiz-e-vatan ārām hai harām abhī
koī kalām nahīñ hai tirī shujā.at meñ
na aa.ī paañv meñ laġhzish hazār aafat meñ
tū pesh pesh rahā hai vatan kī ḳhidmat meñ
magar hai duur bahut amn kā maqām abhī
muhāfiz-e-vatan ārām hai harām abhī
uThe jo fitna-e-tāza use dabānā hai
sitam-tarāz ko maidān se bhagāna hai
abhī to hamle kā badla tujhe chukānā hai
na lā zabān pe ārām kā tū naam abhī
muhāfiz-e-vatan ārām hai harām abhī
na rakh niyam mein rahne de be-niyam abhi
tu is ko hath mein kuchh der aur tham abhi
kuchh aur lena hai KHanjar se tujh ko kaam abhi
adu ka kaam hua hai kahan tamam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
abhi to chhai hui hai ufuq pe gham ki ghaTa
abhi to shoala-fishan hai himaliya ki faza
abhi to chalti hai sarhad par tund-o-tez hawa
sukun ka KHwab hai yak surKHiyan-e-KHam abhi
muhafiz-ewatan aaram hai haram abhi
abhi to jama hai sarhad pe lashkar-e-aghyar
abhi to aankhen dikhata hai ghasib-e-ghaddar
abhi to mail shar hai junun-e-fitna-shiar
use pilana hai zahr-e-ajal ka jam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
koi kalam nahin hai teri shujaat mein
na aai panw mein laghzish hazar aafat mein
tu pesh pesh raha hai watan ki KHidmat mein
magar hai dur bahut amn ka maqam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
uThe jo fitna-e-taza use dabana hai
sitam-taraaz ko maidan se bhagana hai
abhi to hamle ka badla tujhe chukana hai
na la zaban pe aaram ka tu nam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.