aarzu
ḳhudāyā aarzū merī yahī hai
ye hasrat dil meñ karvaT le rahī hai
banūñ kamzor logoñ kā sahārā
dukhī logoñ ko duuñ har dam dilāsā
za.īfoñ be-kasoñ ke kaam aa.uuñ
ġharīboñ muflisoñ ke kaam aa.uuñ
maiñ apne dostoñ kā dukh uThā.ūñ
jo rūThe hoñ unheñ hans kar manā.ūñ
burā.ī se sadā laḌtā rahūñ maiñ
bhalā har kaam hī kartā rahūñ maiñ
hamesha alam se rakhkhūñ meñ ulfat
kitāboñ se sadā rakhkhūñ mohabbat
jo bhaTke hoñ unheñ manzil dikhā.ūñ
jo āndhe hoñ unheñ rasta batā.ūñ
karūñ maañ baap kī dil se maiñ ḳhidmat
rakhūñ ustād se apne mohabbat
buzurgoñ kī nasīhat par karūñ maiñ
maiñ nafrat ke charāġhoñ ko bujhā.ūñ
diyā amn o mohabbat kā jalā.ūñ
karūñ apne vatan kī pāsbānī
atā karnā mujhe vo naujavānī
ḳhudāyā aarzū kar de ye puurī
yahī bas iltijā hai tujh se merī
KHudaya aarzu meri yahi hai
ye hasrat dil mein karwaT le rahi hai
banun kamzor logon ka sahaara
dukhi logon ko dun har dam dilasa
zaifon be-kason ke kaam aaun
gharibon muflison ke kaam aaun
main apne doston ka dukh uThaun
jo ruThe hon unhen hans kar manaun
burai se sada laDta rahun main
bhala har kaam hi karta rahun main
hamesha alam se rakhkhun mein ulfat
kitabon se sada rakhkhun mohabbat
jo bhaTke hon unhen manzil dikhaun
jo aandhe hon unhen rasta bataun
karun man bap ki dil se main KHidmat
rakhun ustad se apne mohabbat
buzurgon ki nasihat par karun main
main nafrat ke charaghon ko bujhaun
diya amn o mohabbat ka jalaun
karun apne watan ki pasbani
ata karna mujhe wo naujawani
KHudaya aarzu kar de ye puri
yahi bas iltija hai tujh se meri
- Book : Tazgi (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.