aarzu
mujhe mojazoñ pe yaqīñ nahīñ magar aarzū hai ki jab qazā
mujhe bazm-e-dahr se le chale
to phir ek baar ye izn de
ki lahad se lauT ke aa sakūñ
tire dar pe aa ke sadā karūñ
tujhe ġham-gusār kī ho talab to tire huzūr meñ aa rahūñ
ye na ho to sū-e-rah-e-adam maiñ phir ek baar ravāna huuñ
mujhe mojazon pe yaqin nahin magar aarzu hai ki jab qaza
mujhe bazm-e-dahr se le chale
to phir ek bar ye izn de
ki lahad se lauT ke aa sakun
tere dar pe aa ke sada karun
tujhe gham-gusar ki ho talab to tere huzur mein aa rahun
ye na ho to su-e-rah-e-adam main phir ek bar rawana hun
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 474)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.