aarzu
na jaane mere dil kī ḳhud-farebī kyoñ nahīñ jaatī
taḳhayyul se hasīñ ḳhvāboñ ke manzar gum nahīñ hote
mirī jaañ se fusūn-e-soz-o-ġham chhin kyoñ nahīñ jaatā
na jaane mere dil kī ḳhud-farebī kyoñ nahīñ jaatī
vahī ġhurbat vahī mushkil vahī vīrāñ fazā.eñ haiñ
vahī mazlūm insāñ haiñ vahī bebas duā.eñ haiñ
nizām-e-bazm-e-insāñ meñ vahī zālim ta.ayyush hai
havas-kārī kī mahfil meñ vahī kāfir jafā.eñ haiñ
naved-e-sub.h mere dil kī duniyā meñ nahīñ aatī
mirī tārīki-e-shab kyoñ munavvar ho nahīñ jaatī
nizām-e-bazm-e-insāñ kyoñ sañvarne meñ nahīñ aatā
siyāhī dhul nahīñ jaatī tabāhī so nahīñ jaatī
na jaane mere dil ki KHud-farebi kyon nahin jati
taKHayyul se hasin KHwabon ke manzar gum nahin hote
meri jaan se fusun-e-soz-o-gham chhin kyon nahin jata
na jaane mere dil ki KHud-farebi kyon nahin jati
wahi ghurbat wahi mushkil wahi viran fazaen hain
wahi mazlum insan hain wahi bebas duaen hain
nizam-e-bazm-e-insan mein wahi zalim tayyush hai
hawas-kari ki mahfil mein wahi kafir jafaen hain
nawed-e-subh mere dil ki duniya mein nahin aati
meri tariki-e-shab kyon munawwar ho nahin jati
nizam-e-bazm-e-insan kyon sanwarne mein nahin aata
siyahi dhul nahin jati tabahi so nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.